zamīñ na.ī thii, falak nā-shanās thā jab ham
tirī galī se nikal kar sū-e-zamāna chale
chale ba-jeb-e-darīda, ba-dāman-e-sad-chāk
ki jaise jins-e-dil-o-jāñ gañvā ke aa.e haiñ
jahāñ ik umr kaTī thii, isī qalam-rau meñ
shanāḳht ke liye har shāhrāh ne Tokā
jahāñ jale the tire husn-e-ātishīñ ke kañval
vahāñ alaav to kyaa, raakh kā nishāñ bhī na thā
musāfirat ne pukārā na.e ufuq kī taraf
agar vafā kī sharī.at kā ye sila hogā