mez chup-chāp ghaḌī band kitābeñ ḳhāmosh
apne kamre kī udāsī pe taras aatā hai
sāmne taaq pe rakkhī huī do tasvīreñ
aksar auqāt mujhe pyaar se yuuñ taktī haiñ
ye kitābeñ bhī mirā saath nahīñ detīñ aaj
'keats' kī nazm 'arastū' ke hakīmāna qaul
isī ā.īne ne dekhe haiñ hamāre jhagḌe
yahī ziina hai jahāñ maiñ ne use chūmā thā
chāñdnī khul ke nikhar aa.ī hai darvāze par
os se bhīgte jaate haiñ purāne gamle
sub.h kyā jaane kahāñ hotī hai kab hotī hai
jaane insān ne kis vaqt ye ne.amat paa.ī