na jaane kab se yūñhī dil-shikasta baiThī huuñ
udaas chehre ko apnī hatheliyoñ meñ liye
mirā ḳhayāl thā un zar-nigār mahloñ meñ
vo dil-kashī hai ki maiñ tujh ko bhuul jā.ūñgī
magar ḳhabar na thī ye shoḳh-o-shañg hañgāme
mirī javān ummīdoñ kā husn lūTeñge
maiñ sochtī huuñ ki ik jism ke pujārī ko
mirī vafā ne vafā kā suhāg kyuuñ samjhā
ye sīm-o-zar kī bahāroñ kā daur-e-sarmastī
mirī fasurdagī-e-rūh ko na raas aayā
ye Thiik hai ki tirā pyaar sīm-posh na thā
vafā-shanās thā lekin vafā-farosh na thā