Mustafa Zaidi

teri hansi

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
falak kā ek taqāzā thā ibn-e-ādam se
sulag sulag ke rahe aur palak jhapak na sake
maiñ sochtā huuñ ki ye terī be-hijāb hañsī!
mizāj-e-zīst se is darja muḳhtalif kyuuñ hai
bharā huā hai nigāhoñ meñ zindagī ke dhuāñ
bas ek sho.ala-e-shab-tāb meñ sharar kyuuñ hai
na.e shivāle meñ jā kar kisī ke teshe ne
bahut se but to girā.e bahut se but na gire
bas ek ḳhanda-e-be-bāk hī se kyā hogā
lahū kī zahmat-e-iqdām bhī zarūrī hai
gurez o raj.at o taḳhrīb hī sahī lekin
koī taḌap, koī hasrat, koī murād to hai
Top Urdushayar.com