sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai
vo mire rañj-o-masā.ib kā mudāvā to na thī
mere idrāk ke nāsūr to riste rahte
merī ho kar bhī vo mere liye kyā kar letī
us ko rahnā thā zar-o-sīm ke aivānoñ meñ
rah bhī jaatī vo mire saath to rahtī kab tak
ek shā.er kī tamannāoñ ko dhokā de kar
us ne toḌī hai agar pyaar bhare giit kī lai
phir bhī anjāne meñ jab shahr kī rāhoñ meñ kahīñ
dekh letā huuñ maiñ doshīza jamāloñ ke hujūm
sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai
vo mire rañj-o-masā.ib kā mudāvā to na thī