Mustafa Zaidi

ek alamat

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
ghaas se bach ke chalo ret ko gulzār kaho
narm kaliyoñ pe chaḌhā do ġham-e-daurāñ ke ġhilāf
isī raftār se chaltā hai jahān-e-guzarāñ
inhī qadmoñ pe zamāne ke qadam uThte haiñ
ham ne is chor ko sīnoñ meñ dabā rakkhā hai
ham isī chor ke ḳhatre se pareshān bhī haiñ
har payambar pe hañsā hai ye zamāna lekin
har payambar ne jhukā.ī hai zamāne kī jabīñ
jism ke daaġh chhupānā to koī baat nahīñ
ruuh ke zaḳhm sulagte haiñ pas-e-parda-e-dil
apnī hassās subuk naak se rūmāl haTāo
khaad meñ mahz ta.affun hī nahīñ ḳhez bhī hai
shahr kī tīra-o-tārīk guzargāhoñ meñ
dāstāñ hogī to manTo kā qalam likkhegā
gopī-nāth aur zafar-shāh ke jaise kirdār
kitnī gumnāmī meñ jī lete haiñ mar jaate haiñ
ai na.e asr kī rag rag ko samajhne vaale
fahm-o-idrāk badī haiñ to badī terī hai
Top Urdushayar.com