Mustafa Zaidi

kahani

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
bachcho, ham par hañsne vālo, aao, tumheñ samjhā.eñ
jis ke liye is haal ko pahuñche, us kā naam batā.eñ
rūp-nagar kī ik raanī thii, us se huā lagāv
bachcho, us raanī kī kahānī sun lo aur so jaao
us par marnā, aa.heñ bharnā, ronā, khuḌhnā, jalnā
āb-o-havā par zinda rahnā, añgāroñ par chalnā
ham jañgal jañgal phirte the us ke liye dīvāne
rishī bane, majnūñ kahlā.e, lekin haar na maane
barsoñ kyā kyā chane chabā.e, kyā kyā pāpaḌ bele
lahroñ ko hamrāz banāyā, tūfānoñ se khele
daftar bhūle, bistar bhūle, piine lage sarāb
pal bhar aañkh lage, to aa.eñ ulTe sīdhe ḳhvāb
niiñd meñ kyā kyā dekheñ, taḌpeñ, ro.eñ, uTh uTh jaa.eñ
so jaane kī golī khā.eñ, injection lagvā.eñ
āḳhir vo ik ḳhvāb meñ aa.ī sun ke hamārā haal
koyal jaisī baat thī us kii, hirnī jaisī chaal
kahne lagī, koī jii, terā haal na dekhā jaa.e
maiñ ne kahā ki raanī apnī parjā ko bahlā.e
kahne lagī ki tū kyā legā: sonā, chāndī, haar
maiñ ne kahā ki rānī, tere mukhḌe kī talvār
dhuup paḌī, to khul ga.ī āñkheñ, khul gayā saarā bhed
ġhash khāyā, to dauḌe aa.e munshī, panDit, ved
vo din hai aur aaj kā din hai chhuT gayā khānā paanī
chhuT gayā khānā pānī, bachcho, ho ga.ī ḳhatm kahānī
merī kahānī meñ lekin ik bhed hai, us ko paao
chāñd ko duur hī duur se dekho chāñd ke paas na jaao
na apne ghar hī us ko bulāo
Top Urdushayar.com