bastī kī ye ūñchī havelī dard kī chādar meñ lipTī
jaane kis ko dekh rahī hai barsoñ se vīrān paḌī
shāyad tum ko yaad to hogā ahl-e-ḳhirad vo daur ki jab
ahl-e-junūñ kī zanjīroñ se zindānoñ meñ jaan paḌī
maz.hab se khilvāḌ kiyā to us kā ye anjām huā
mandir bhī vīrān paḌā hai masjid bhī sunsān paḌī
kis ne kis ko qatl kiyā pahchān sako to pahchāno
sāmne ye talvār paḌī tirshūl paḌā kirpān paḌī
jis din ik zālim ne ik mazlūm kā nāhaq qatl kiyā
us din se is duniyā meñ kuchh rishtoñ kī pahchān paḌī