Tags-Food

ai ġham-e-dost ziyāfat maiñ tirī kyā kartā
ek ḳhurāk se ration hī ziyāda na milā
Ghazal
mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
zindagī ab is qadar saffāk ho jā.egī kyā
bhuuk hī mazdūr kī ḳhūrāk ho jā.egī kyā
Ghazal
zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
baḌhā hai kaun ye girdāb kī ḳhūrāk hone ko
ki uTThā shor-e-mātam yak-ba-yak amboh-e-sāhil se
Ghazal
jala hai hae kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se
kaisī ibrat hai ki is kashmakash-e-rizq meñ ham
apne hī rizq kī ḳhūrāk hue jaate haiñ
Ghazal
dekhte jate hain namnak hue jate hain
mujh ko khāne meñ jo ḳhūrāk yahāñ miltī hai
vo tire mulk ke logoñ ko kahāñ miltī hai
Nazm
America ke kutte
zindagī ab is qadar saffāk ho jā.egī kyā
bhuuk hī mazdūr kī ḳhūrāk ho jā.egī kyā
Sher
zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
dil bhī un ke haiñ siyah ḳhūrāk-e-zindāñ kī tarah
un se apnā ġham bayāñ ab ham ko karnā hī nahīñ
Ghazal
us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin
oḌh leñge ye zamīñ chādar kī tarah ek din
ek din miTTī tirī ḳhurāk ho jā.eñge ham
Ghazal
ai bhanwar teri tarah bebak ho jaenge hum
Thahrī thī ġhizā apnī jo ġham ishq-e-butāñ meñ
so aah hamārī hameñ ḳhūrāk ne khāyā
Sher
Thahri thi ghiza apni jo gham ishq-e-butan mein
kis kī mahfil ko dekheñ
ham tum haiñ ḳhurāk-e-mahfil
Ghazal
wah fusun-e-ab-o-gil
pūchhe hai kyā ma.āsh-e-jighar taftagān-e-ishq
juuñ sham.a aap apnī vo ḳhūrāk ho ga.e
Unpublished Sher
puchhe hai kya maash-e-jighar taftagan-e-ishq
us ne banā diyā hai mātam-kada jahāñ ko
ḳhilqat fasurdagī kī ḳhūrāk ho rahī hai
Ghazal
kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai
zaḳhm detī hai nayā roz mujhe bhuuk mirī
ye masā.ib mirī ḳhūrāk se bāhar na hue
Ghazal
KHak-basta hain tah-e-KHak se bahar na hue
ḳhush haiñ aise log duniyā meñ jo ḳhush-ḳhūrāk haiñ
aur un logoñ ke dastar-ḳhvān haibatnāk haiñ
Nazm
KHush-KHurak

Top Urdushayar.com