Tags-Hindustan

aa gale mil dard kā rishta hai apne darmiyāñ
itne zoroñ se na hindostān pākistān kar
Ghazal
dost hai wo piTh par aaega neza tan kar
huuñ yahāñ is liye dakan ko 'riyāz'
rashk hindostān par kuchh hai
Ghazal
joban un ka uThan par kuchh hai
ḳhudā yahāñ bhī ta.assub vahāñ bhī hai ki nahīñ
karachi vāloñ se hindostān pūchhtā hai
Ghazal
zaban walon se ek be-zaban puchhta hai
ham ko apne desh kī ḳhātir jiinā hai mar jaanā hai
is duniyā ko rahnā hai to hindostān zarūrī hai
Nazm
zaruri hai
'faiz' ye mujh ko yaqīñ hai sāzishoñ ke bāvajūd
phūltī phaltī rahegī urdu hindostān meñ
Ghazal
tolta kya mujhko koi jauhari mizan mein
to kyā huā jo janmī thī pardes meñ kabhī
beTī hai 'arshiya' bhī to hindostān kī
Sher
to kya hua jo janmi thi pardes mein kabhi
isī jagah isī din to huā thā ye elaan
añdhere haar ga.e zindabād hindostān
Sher
isi jagah isi din to hua tha ye elan
na qaid-e-shar.a baaqī hai na āzādī kī hai kuchh had
nahīñ kuchh guftugū is baab meñ ye nek hai yā bad
Latiife
Daḍhi Se Moonchh Tak
ḳhudā ai kaash 'nāzish' jīte-jī vo vaqt bhī laa.e
ki jab hindostān kahlā.egā hindostān-e-āzādī
Sher
KHuda ai kash nazish jite-ji wo waqt bhi lae
kyā pūchhte ho nām-o-nishān-e-musāfirāñ
hindostāñ meñ aa.e haiñ hindostān ke the
Sher
kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran
shoḳhī shabāb husn tabassum hayā ke saath
dil le liyā hai aap ne kis kis adā ke saath
Latiife
Ek Jail Ke qaidi
ham ko 'riyāz' jānte haiñ mānte haiñ sab
hindostān meñ dhuum hamārī zabāñ kī hai
Sher
hum ko riyaz jaante hain mante hain sab
hind hindostān vaalo tum ai hindū musalmāno
tumhī aapas ke kul jhagḌoñ ko be-khaTke miTā sakte
Nazm
hindu muslim ittihad
jahāñ jahāñ koī urdu zabān boltā hai
vahīñ vahīñ mirā hindostān boltā hai
Sher
jahan jahan koi urdu zaban bolta hai
'nādir' afsos qadar-dān-e-suḳhan
ek hindostān meñ na rahā
Ghazal
ab na hasrat na pas hai dil mein
aise maare ga.e javāñ faujī
jaise hindostān TuuT gayā
Ghazal
lo dil-e-be-zaban TuT gaya
hamāre Dūbne ke baad ubhreñge na.e taare
jabīn-e-dahr par chhaTkegī afshāñ ham nahīñ hoñge
Latiife
Viceroy aur Bayen Hath Ka Khel
hindostān sāya-e-gul pā-e-taḳht thā
jāh-o-jalāl-e-ahd-e-visāl-e-butāñ na pūchh
Ghazal
hai sabza-zar har dar-o-diwar-e-gham-kada
baiThā hai jo ki sāya-e-dīvār-e-yār meñ
farmāñ-ravā-e-kishvar-e-hindūstān hai
Ghazal
kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai
duniyā ke saare meve is gulsitān meñ haiñ
sab nemateñ mayassar hindostān meñ haiñ
Nazm
hindostan mera

Top Urdushayar.com