English
English
اردو
हिन्दी
Favourite
Favourite (3)
Favourite
shayari
shayar
collections
tags
dictionary
Expand menu
Sign in
Account
Collections
Lab Shayari
Motivational Ghazals
Best Khamoshi Shayari
More Collections
Home
Shayar
Shayari
Sher
Ghazal
Nazm
Tags
Dictionary
Home
Tags
Identity
Tags-Identity
vo shakl vo shanāḳht vo paikar kī aarzū
patthar kī ho ke rah ga.ī patthar kī aarzū
Ghazal
wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu
is ahd kī shanāḳht Thahrī
sab kuchh hai magar nazar nahīñ hai
Ghazal
wahshat ka kahin asar nahin hai
vahī to vaqt kī be-chehragī hai apnī shanāḳht
ki jis pe ab bhī hazāroñ naqāb baaqī haiñ
Ghazal
abhi to aankhon mein na-dida KHwab baqi hain
aasī kī kyā shanāḳht hai ma.asūm kī hai kyā
ye baat bārgāh-e-sazā-o-jazā se pūchh
Ghazal
insan ke kitne rup hain ru-e-ana se puchh
ye mere haath haiñ aur be-shanāḳht ab bhī nahīñ
ye aur baat hai talvār toḌ dī maiñ ne
Ghazal
kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine
apnī alag shanāḳht bhī 'imrran' ho zarūr
vo shaḳhs apnī ziist meñ shāmil bhī chāhiye
Ghazal
us ka badan bhi chahiye aur dil bhi chahiye
shanāḳht kī ye kahānī bas ek nasl kī hai
phir is ke ba.ad fasāne idhar udhar se haiñ
Ghazal
tamam rishte usi shaKH-e-be-samar se hain
shanāḳht us kī alag hai mirā vajūd alag
judā bhī mujh se nahīñ hai vo mujh meñ zam bhī nahīñ
Ghazal
ye jhuT hai ki bichhaDne ka usko gham bhi nahin
koī ḳhvāb sar se pare rahā ye safar sarāb-e-safar rahā
maiñ shanāḳht apnī gañvā chukā ga.ī sūratoñ kī talāsh meñ
Ghazal
jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
shanāḳht kar na sakā ā.ina-nazar bhī use
har ek shāḳh-e-badan laḳht laḳht aisī thī
Ghazal
kuchh ab ke jang pe uski giraft aisi thi
inkār ab tujhe bhī hai merī shanāḳht se
lekin na bhuul ye tirī pahchān maiñ bhī huuñ
Ghazal
jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun
mohabbat koī numāyāñ nishān nahīñ
jis se laash kī shanāḳht meñ āsānī ho
Nazm
mohabbat
basī jo aa ke zamīñ meñ 'samad' shanāḳht mirī
mire badan meñ sajā kar havās chhoḌ ga.ī
Ghazal
wo aarzu ki dilon ko udas chhoD gai
koī kar saktā nahīñ firqa-parastoñ kī shanāḳht
ek do kyā Toliyoñ kī Toliyāñ dehlī meñ haiñ
Nazm
dilli mein hain
shanāḳht jis se zamāne meñ aadmī kī hai
ye iltijā hai ki tū mujh ko vo ḳhudī denā
Ghazal
junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena
Prev
3 / 3
1
2
3
Next
Top
Urdushayar.com