Tags-Majburi

uf rī majbūrī mizāj-e-yār meñ ho kar daḳhīl
rāzdāñ ḳhud apne dushman ko banānā hī paḌā
Ghazal
dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa
kitnī majbūrī hai lā-mahdūd aur mahdūd kī
be-karāñ jab ho sakeñ tab be-karāñ mālūm ho
Ghazal
KHak mein milti hain kaise bastiyan malum ho
kiye junūñ meñ yahāñ tak sujūd-e-majbūrī
ki āstāñ se tire iḳhtiyār le ke uThā
Ghazal
tajalliyon se gham-e-etibar le ke uTha
pahle to majbūrī paidā hotī hai
phir rishtoñ meñ duurī paidā hotī hai
Ghazal
pahle to majburi paida hoti hai
nādānī aur majbūrī meñ yaaro kuchh to farq karo
ik be-bas insān kare kyā TuuT ke dil aa jaa.e to
Ghazal
der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aae to
sukūt-e-rāz kaho yā sukūt-e-majbūrī
magar laboñ kī jasārat thī nāgavār kise
Ghazal
tumhin batao pukara hai bar bar kise
yūñhī nahīñ ham bolte jaate ye apnī majbūrī hai
jūñhī kuchh kah chukte haiñ lagtā hai baat adhūrī hai
Ghazal
yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai
apnī majbūrī ko ham dīvār-o-dar kahne lage
qaid kā sāmāñ kiyā aur us ko ghar kahne lage
Ghazal
apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage
vādi-e-gul se nikalnā ek majbūrī sahī
shahr-e-nā-pursāñ meñ ham ko rā.egāñ honā hī thā
Ghazal
shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha
ishq aur dast-e-talab aisī bhī kyā majbūrī
shauq ko kāvish-e-daryūza-garī ne maarā
Ghazal
ahl-e-zahir ko fann-e-jalwa-gari ne mara
ishq meñ ye majbūrī to ho jaatī hai
duniyā ġhair-zarūrī to ho jaatī hai
Ghazal
ishq mein ye majburi to ho jati hai
har baat yahāñ raaz banī jaatī hai
majbūrī bhī dam-sāz banī jaatī hai
Rubaai
har baat yahan raaz bani jati hai
adl ke liye mulzim kab se raah taktā hai
kaun sī hai majbūrī munsifī ke dāman meñ
Ghazal
dushmani wo lae hain dosti ke daman mein
allāh-re majbūrī bikne ke liye ab bhī
sāmān-e-tabassum hai ashkoñ kī dukānoñ meñ
Ghazal
phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein
ye duniyā akbar zulmoñ kī ham majbūrī kī anārkalī
ham dīvāroñ ke biich meñ haiñ ham narġha-e-jabr-o-jalāl meñ haiñ
Ghazal
mere KHeme KHasta-haal mein hain mere raste dhund ke jal mein hain
hai mahrūmī sī mahrūmī to majbūrī sī majbūrī
ki har saa.at musībat meñ ghirī ma.alūm hotī hai
Ghazal
bahut bar-e-garan ye zindagi malum hoti hai
mahñgā.ī meñ har ik shai ke daam hue haiñ duune
majbūrī meñ bike javānī do kauḌī ke mol
Sher
mahngai mein har ek shai ke dam hue hain dune
allāh-re majbūrī allāh-re mahrūmī
yā bārish-e-sahbā thī yā jaam nahīñ aatā
Ghazal
saqi ki nigahon ka paigham nahin aata
is ishq kī majbūrī nāseh pe khulī jab se
kar man.a-e-mohabbat kā irshād bahut royā
Ghazal
us zulf se dil ho kar aazad bahut roya
aag pe chalnā qismat meñ hai barf pe ruknā majbūrī
kaun sunegā apnī kahānī raat ghanerī hone tak
Ghazal
bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak

Top Urdushayar.com