Tags-Mausam

vo aayā to saare mausam badle badle lagte haiñ
yā kāñToñ kī sej bichhī thī yā phūloñ kā bichhaunā hai
Ghazal
KHat mein usko kaise likkhen kya pana kya khona hai
bahāreñ aur ḳhizā.eñ sab usī kī
mirā apnā koī mausam nahīñ hai
Ghazal
luTe jate hain lekin gham nahin hai
kahte haiñ log auj pe thā mausam-e-bahār
dil kah rahā hai arbada-e-zulf-e-yār thā
Ghazal
barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha
mausam kī havā.eñ gulshan meñ jaadū kā amal kar jaatī haiñ
rūdād-e-bahārāñ kyā kahiye shabnam bhī bahut sho.ale bhī bahut
Ghazal
basti mein kami kis chiz ki hai patthar bhi bahut shishe bhi bahut
ye lahroñ kī mānind chaḌhte utarte
tilismāt mausam
Nazm
an-dekhi lahren
'jāmī' fazā-e-mausam-e-gul yuuñ udaas hai
jaise kahīñ qarīb koī hādsa huā
Ghazal
ai intizar-e-subh-e-tamanna ye kya hua
muzhda ai yaas ki yaañ kunj-e-qafas ke qaidī
yak-ba-yak mausam-e-parvāz meñ mar jaate haiñ
Ghazal
ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
par taulne lage phir asīrān-e-bad-nasīb
shāyad qarīb aa gayā mausam bahār kā
Ghazal
saya agar nasib ho diwar-e-yar ka
mausam kā e.ajāz hai yā jaadū hai koī
rātoñ-rāt daraḳhtoñ par ghar ug aate haiñ
Ghazal
kis manzar mein kaise manzar ug aate hain
faiz-e-mausam thā parinde hue āzād magar
ḳhū-e-sayyād vahī said-e-zabūñ māñgtī hai
Ghazal
chand ka raqs sitaron ka fusun mangti hai
ab intizār ke mausam udaas karte nahīñ
ajiib hai ki hameñ ġham udaas karte nahīñ
Ghazal
ab intizar ke mausam udas karte nahin
haath jab mausam ke giile ho ga.e haiñ
zaḳhm dil ke aur gahre ho ga.e haiñ
Ghazal
hath jab mausam ke gile ho gae hain
mausam ke bahāne gul-o-gulzār nikal aa.e
tum bhī koī bahrūp badalte hue aa jaao
Ghazal
bundon ki tarah chhat se Tapakte hue aa jao
do gaam pe mai-ḳhāna hai daftar se nikal kar
is bhīgte mausam meñ Tahalte hue aa jaao
Ghazal
bundon ki tarah chhat se Tapakte hue aa jao
būñdoñ kī tarah chhat se Tapakte hue aa jaao
barsāt kā mausam hai baraste hue aa jaao
Ghazal
bundon ki tarah chhat se Tapakte hue aa jao
koī mujh se ḳhafā hai is liye ḳhud se ḳhafā huuñ
ubalte khaulte mausam ke neze par rakhā huuñ
Ghazal
koi mujhse KHafa hai is liye KHud se KHafa hun
mausam ne aisī aag lagā.ī thī raat meñ
mere badan meñ ḳhuun thā jitnā ubal gayā
Ghazal
maine ye jab suna to mera dil dahal gaya
ġhaur se dekhnā bahāroñ meñ
pichhle mausam ke bhī nishāñ hoñge
Nazm
barf pighlegi
kaam kuchh to mirā lahū aayā
baaġh meñ mausam-e-numū aayā
Ghazal
kaam kuchh to mera lahu aaya
uḌāne ke liye kuchh kam nahīñ hai ḳhaak ghar meñ bhī
vo mausam hī nahīñ haiñ jo divāna karne vaale the
Ghazal
jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the

Top Urdushayar.com