Tags-Mohabbat

adāvatoñ se mohabbat kā ġham nikālte haiñ
ham apne dil ko bhī marzī se kab uchhālte haiñ
Ghazal
adawaton se mohabbat ka gham nikalte hain
jahāñ jahāñ bhī zarūrat paḌī mohabbat kī
ham apne ḳhuun ko paikar meñ bhar hī Dhālte haiñ
Ghazal
adawaton se mohabbat ka gham nikalte hain
aaj rah rah ke taḌaptā huuñ na.ī baat hai kyā
dil ne kyuuñ tark-e-mohabbat kī qasam khaa.ī hai
Nazm
saza
paḌā hai paañv meñ ab silsila mohabbat kā
burā hamārā huā ho bhalā mohabbat kā
Ghazal
paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
jamāl-e-sāf kī muusā ko taab kab aa.ī
jo dekhiye to hai tālib ḳhudā mohabbat kā
Ghazal
paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
har ek dar pe hai gardish meñ merā kāsa-e-chashm
vo shāh-e-husn huā ye gadā mohabbat kā
Ghazal
paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
na sīm-o-zar kī hai hājat na kuchh hukūmat kī
ugaal de ke diyā ḳhūñ-bahā mohabbat kā
Ghazal
paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
kidhar se jaatā thā 'aḳhtar' ye kyā huā afsos
ḳhudā bachā.e huā sāmnā mohabbat kā
Ghazal
paDa hai panw mein ab silsila mohabbat ka
jo mil gayā hai yahāñ jalva-e-ḳhayālī hai
ye baat ham ne mohabbat meñ aazmā lī hai
Ghazal
jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai
mohabbat faqat lafz thā ek ḳhālī
ye kis ne kahā thā ma.ānī milā do
Sher
mohabbat faqat lafz tha ek Khaali
pinhā de koī mohabbat kī ek kaḌī zanjīr
ki qaid-e-farz se bāhar nikal gayā huuñ maiñ
Ghazal
main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main
raushan haiñ jahāñ sham-e-mohabbat kī qatāreñ
vo kunj-e-kam-āsār nazar hī nahīñ aayā
Ghazal
ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya
mujh ko tū hī batā dast-o-bāzū mire kho ga.e haiñ kahāñ
ai mohabbat mirā har sahārā gayā maiñ to maarā gayā
Ghazal
naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya
mudda.ī bārgāh-e-mohabbat meñ 'fartāsh' the aur bhī
merā hī naam lekin pukārā gayā maiñ to maarā gayā
Ghazal
naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya
maqsad-e-husn hai kyā chashm-e-basīrat ke sivā
vaj.h-e-taḳhlīq-e-bashar kyā hai mohabbat ke sivā
Ghazal
maqsad-e-husn hai kya chashm-e-basirat ke siwa
zindagānī vo mo'atabar hogī
jo mohabbat ke naam par hogī
Ghazal
zindagani wo moatabar hogi
mohabbat ik hisār-e-be-nishāñ hai
lahū meñ dā.era bantā nahīñ hai
Ghazal
charagh-e-sham hi tanha nahin hai
dukhī hai shahr ke logoñ se bad-mizāj bahut
jo pūchhnā hai mohabbat se ehtiyāt se pūchh
Ghazal
tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh
javāz DhūñD rahā thā na.ī mohabbat kā
vo kah rahā thā ki maiñ us ko bhuul jā.ūñgī
Ghazal
kamal-e-zabt ko KHud bhi to aazmaungi
kareñ insāf kā daavā asar kuchh bhī na zāhir ho
mazā chakkhā hai aise dostoñ se bhī mohabbat kā
Ghazal
jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein

Top Urdushayar.com