Tags-Religion

kañkar patthar kī tāmīreñ maz.hab kā mafhūm nahīñ
zehnoñ kī ta.amīr bhī kiije gumbad aur mehrāb ke saath
Ghazal
taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath
aqā.ed vahm haiñ maz.hab ḳhayāl-e-ḳhām hai saaqī
azal se zehn-e-insāñ basta-e-auhām hai saaqī
Ghazal
aqaed wahm hain mazhab KHayal-e-KHam hai saqi
hastī koī aisī bhī hai insāñ ke sivā aur
maz.hab kā ḳhudā aur hai matlab kā ḳhudā aur
Ghazal
hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
vahī haiñ qatl-o-ġhārat aur vahī kohrām hai saaqī
tamaddun aur maz.hab kī ye ḳhūnī shaam hai saaqī
Ghazal
wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi
yahāñ tasbīh kā halqa vahāñ zunnār kā phandā
asīrī lāzmī hai maz.hab-e-shaiḳh-o-barahman meñ
Ghazal
kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
jo had-e-taqvā adā na hove to apnā maz.hab yahī hai 'ġhālib'
havas na rah jaa.e koī baaqī gunāh kiije to ḳhuub kiije
Unpublished Sher
jo had-e-taqwa ada na howe to apna mazhab yahi hai ghaalib
tere maz.hab meñ hifāzat aabrū kī hai gunāh
māñgtī hai terī bātoñ se nissā.iyat panāh
Nazm
tawaif
nasl-o-mazhab kī koī qaid nahīñ hai 'gauhar'
zikr har lab pe ba-alfāz-e-digar terā hai
Ghazal
KHwab tere hain ye KHwabon ka nagar tera hai
qaid-e-maz.hab kī giraftārī se chhuT jaatā hai
ho na dīvāna to hai aql se insāñ ḳhālī
Sher
qaid-e-mazhab ki giraftari se chhuT jata hai
kaun sī raah chalūñ kufr mohabbat sach kah
kaam aa.egā vahāñ maz.hab-e-islām ki tū
Ghazal
jab kaha main hun tere ishq mein badnam ki tu
apne maz.hab meñ hai nifāq harām
jis se milte haiñ jī se milte haiñ
Ghazal
aadmi aadmi se milte hain
ho nahīñ saktā ki vo ārām le din ko kabhī
kufr hai maz.hab meñ us ke kāhilī kī zindagī
Nazm
mazdur ki zindagi
be-jurm o gunāh qatl-e-āshiq
maz.hab meñ tire savāb dekhā
Ghazal
chehre pe na ye naqab dekha
uThā dī qaid-e-maz.hab dil se ham ne
qafas se tā.ir-e-idrāk niklā
Sher
uTha di qaid-e-mazhab dil se humne
kuchh is qadar bhī burā.ī nahīñ hai maz.hab meñ
jahān kalma-e-lā-taqnatū se zinda hai
Ghazal
ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai
raushnī kī koī sarhad nahīñ
koī maz.hab nahīñ
Nazm
hidayat
shahr-e-qāzī tire fatvoñ se ġharaz kyā mujh ko
rab mirā dil mirā marzī mirī maz.hab merā
Ghazal
rutba-e-taKHt se mahrum hai mansab mera
kareñ kyā riñd mashrab iḳhtiyār ik maz.hab ai vaa.iz
nahīñ dil toḌnā manzūr haftād-o-do-millat kā
Ghazal
rag-o-pai mein bhara hai mere shor uski mohabbat ka
apnī marzī se to maz.hab bhī nahīñ us ne chunā thā
us kā maz.hab thā jo maañ baap se hī us ne virāsat meñ liyā thā
Nazm
wirasat
aaj tañg aa ke ye nāseh ko diyā maiñ ne javāb
maz.hab-e-shaiḳh judā mashrab-e-rindāna judā
Ghazal
sare aalam se mere gham ka hai afsana juda

Top Urdushayar.com