Tags-Sahra

bharosa kaun kare ab sadā-e-sahrā kā
misāl-e-gard isī rahguzar se guzre haiñ
Ghazal
ghamon ki dhup kaDi dopahar se guzre hain
nazar ham pe rakhtā hai sahrā 'suhail'
ye Dar hai kahīñ gul khilā deñge ham
Ghazal
gae mausamon ko bhula denge hum
le ga.ī bāñdh ke vahshat use sahrā kī taraf
ek dil hī to thā ab vo bhī kahāñ hai merā
Ghazal
jal raha hun to ajab rang o saman hai mera
kahte ho tujh ko dekhte haiñ ham
banda sahrā-navard rahtā hai
Ghazal
munh jo furqat mein zard rahta hai
kabhī pūchhā na mere kūche meñ
kaun sahrā-navard rahtā hai
Ghazal
munh jo furqat mein zard rahta hai
ā.īn-e-pāsdārī-e-sahrā na chhuT sakā
vaz-e-junūñ agarche badalte rahe haiñ ham
Ghazal
KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum
maiñ pyaas bujhāne pahuñchā to
dariyā meñ sahrā phail gayā
Ghazal
palkon par nam kya phail gaya
tirā naam liyā to sahrā meñ
ik saaya utrā phail gayā
Ghazal
palkon par nam kya phail gaya
guzarnā hai jise sahrā se ho kar
maiñ us dariyā ke dukh se āshnā huuñ
Ghazal
shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun
qais vo nātavān-e-sahrā hai
kālbud nīstān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
haif paik apnā rah-ġhalat-karda
taaza chashm-e-ravān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
hai jo farhād da.avatī-e-koh
qais bhī mehmān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
ġham meñ kis sho.ala-rū ke dūd-e-āh
ātish-e-dūdmān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
tere dīvāna ke liye zanjīr
mauj-e-rañg-e-ravāñ-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
ātish-e-ishq se hai siina garm
jalva-e-barq jān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
hai har ik harf chashm-e-ġhūl 'vaqār'
is ġhazal meñ bayān-e-sahrā hai
Ghazal
qais wo natawan-e-sahra hai
ba.ad muddat ke mire aañkh se aañsū nikle
ḳhushk sahrā meñ jo paanī gire ḳhushbū nikle
Ghazal
baad muddat ke mere aankh se aansu nikle
har na.e moḌ dhuup kā sahrā
kārvāñ-sāz rah ga.e tanhā
Ghazal
har nae moD dhup ka sahra
sahrā meñ kisī saa.e kī ummīd na TuuTī
hasrat kī nigāhoñ meñ bagūlā bhī shajar hai
Ghazal
jis shaKHs ko dekho wahi sargarm-e-safar hai

Top Urdushayar.com