Tags-Sukoon

bikharte phūloñ na ham se pūchho hameñ to ab yaad hī nahīñ hai
chalo ye ahl-e-chaman se pūchheñ sukūn kyā hai qarār kyā hai
Ghazal
hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai
sukūn-e-dil to kahāñ rāhat-e-nazar bhī nahīñ
ye kaisī bazm hai jis meñ tirā guzar bhī nahīñ
Ghazal
sukun-e-dil to kahan rahat-e-nazar bhi nahin
ḳhudā kī ḳhaas ne.amat hai sukūn-e-jān-o-dil 'tāriq'
pareshānī meñ daulat kī farāvānī se kyā hogā
Ghazal
nigahban-e-chaman ab dhup aur pani se kya hoga
'tābish' sukūn-e-dard se taskīn-e-marg tak
dil ho agar to laakh haiñ pahlū qarār ke
Ghazal
sharminda hum junun se hain ek ek tar ke
jise samajhtā thā maiñ dil-navāz jab us se
sukūn-e-qalb na paayā to aañkh bhar aa.ī
Ghazal
wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai
ye kaam us ke liye jaise mas.ala hī na thā
vo pur-sukūn thā kār-e-muhāl karte hue
Ghazal
kabhi KHuda kabhi KHud se sawal karte hue
niiñd sapne sukūn ummīdeñ
kitnā nuqsān kar rahī ho nā
Ghazal
KHud ko aasan kar rahi ho na
sukūn-e-dil ke liye ishq to bahāna thā
vagarna thak ke kahīñ to Thahar hī jaanā thā
Ghazal
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
sukūn-e-zāt vaqf-e-intishār kar liyā gayā
ġhazab huā ki dil kā e'tibār kar liyā gayā
Ghazal
sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya
ye jo zindagī kī haiñ gutthiyāñ ye sulajh ke bhī na sulajh sakīñ
haiñ agarche vaj.h-e-sukūn ham yahāñ shādmāñ koī aur hai
Ghazal
main habib hun kisi aur ka meri jaan-e-jaan koi aur hai
sukūn-e-dil nahīñ jis vaqt se us bazm meñ aa.e
zarā sī chiiz ghabrāhaT meñ kyā jaane kahāñ rakh dī
Sher
sukun-e-dil nahin jis waqt se us bazm mein aae
roz naqsha banā ke duniyā kā
rañg-e-amn-o-sukūn bhartā huuñ
Ghazal
main yunhi TuTta bikharta hun
sukūn-e-sīna-e-tūfāñ 'mujīb' kyā shai hai
ye jāniye to na sāhil kī aarzū karte
Ghazal
hum ahl-e-azm agar dil se justuju karte
jis qadar qalb kī taskīn ke sāmāñ hoñge
karb afzā-e-sukūn-e-ġham-e-hijrāñ hoñge
Ghazal
jis qadar qalb ki taskin ke saman honge
sukūn-e-zindagī tark-e-amal kā naam hai shāyad
na ḳhush hotā huuñ āsāñ se na ghabrātā huuñ mushkil se
Qita
sukun-e-zindagi tark-e-amal ka nam hai shayad
barbād sukūn-e-dar-o-dīvār na ho
be-hurmatī-e-kūcha-o-bāzār na ho
Rubaai
barbaad sukun-e-dar-o-diwar na ho
raḳht-e-safar meñ bāñdh leñ pur-shor kuchh bhañvar
dariyā hai pur-sukūn safar be-maza na ho
Ghazal
aahista boliyega tamasha khaDa na ho
ye aur baat ḳhud ko bikharne nahīñ diyā
yādeñ ḳhalal to Daal rahīñ thiiñ sukūn meñ
Ghazal
ek sard-jang ka hai asar mere KHun mein
parastish apnī anā ke butoñ kī kar lī bahut
sukūn-e-dil ke liye ik ḳhudā zarūrī hai
Ghazal
kaDe hain kos safar dur ka zaruri hai
zamīñ kī god meñ itnā sukūn thā 'anjum'
ki jo gayā vo safar kī thakān bhuul gayā
Ghazal
ye kaisi baat mera mehrban bhul gaya

Top Urdushayar.com