Tags-Travel

din le ke jā.ūñ saath use shaam kar ke aa.uuñ
be-kār ke safar meñ koī kaam kar ke aa.uuñ
Ghazal
din le ke jaun sath use sham kar ke aaun
pahle apne saath chalte the sitāre shauq se
ab to apnī raushnī bhī ham-safar hotī nahīñ
Ghazal
zindagi apni qarine se basar hoti nahin
ruke thame na yahīñ tak nayā safar 'tamjīd'
dikhā.e kilk-e-suḳhan aage aur ustādī
Ghazal
ab is se aur ibarat nahin koi sadi
barf kī tarah december kā safar hotā hai
ham use saath na lete to razā.ī lete
Ghazal
bair duniya se qabile se laDai lete
manzileñ un kī har safar un kā
rāste the bane-banā.e ham
Ghazal
raste se gae haTae hum
ābla-pā.ī hī kaafī hai tirā raḳht-e-safar
ḳhaar ḳhud gul meñ badal jā.eñge rafta rafta
Ghazal
gham ke baadal hain ye Dhal jaenge rafta rafta
ubhartā chāñd mirā ham-safar thā dariyā meñ
maiñ Dūbte hue sūraj ko muḌ ke taktā kyā
Ghazal
main us ka nam ghule paniyon pe likhta kya
kisī alaav kā sho.ala bhaḌak ke boltā hai
safar kaThin hai magar ek baar āḳhirī baar
Ghazal
guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar
vahī safar hai samundar bhī kashtiyāñ bhī vahī
havā.eñ ab ke magar bādbāñ kī zad meñ haiñ
Ghazal
yaqin se nikle to jaise guman ki zad mein hain
safar meñ dhuup kī lazzat pas-e-ġhubār huī
ghane daraḳhtoñ ke saa.e meñ garmiyāñ jāgīñ
Ghazal
har ek samt udasi ki titliyan jagin
ye gard-e-safar haal vo kar degī ki 'shahzād'
tum apnī bhī sūrat ko na pahchān sakoge
Ghazal
jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge
maanā ki kaThin raah hai dushvār safar hai
kyā ek qadam bhī na mire saath chaloge
Ghazal
jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge
nafratoñ ke tavīl sahrā meñ
in kī chāhat to ham-safar hotī
Ghazal
wo nazar mehrban agar hoti
vo ḳhvāb ḳhvāb fazā vo nagar kisī kā thā
musāfirat to mirī thī safar kisī kā thā
Ghazal
wo KHwab KHwab faza wo nagar kisi ka tha
chāñd phir ham-safar banā merā
mere aage zavāl thā hī nahīñ
Ghazal
wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
vo to paañv hī paḌ gayā thā mire
jis safar meñ malāl thā hī nahīñ
Ghazal
wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
maiñ ho gayā huuñ ḳhud apne safar se begāna
ki niiñd merī hai ḳhvāb-e-ravāñ nahīñ merā
Ghazal
zamin nahin ye meri aasman nahin mera
'ġhālib' gar is safar meñ mujhe saath le chaleñ
haj kā savāb nazr karūñgā huzūr kī
Ghazal
manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki
safar meñ kaisī harārat qarīb thī 'ḳhurshīd'
utar ga.ī hai mujhe dhār-dār kartī huī
Ghazal
guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui
arsh kī chāhat ho yā pātāl kā shauq-e-safar
ibtidā kī der hai phir intihā koī nahīñ
Ghazal
lab se dil ka dil se lab ka rabta koi nahin

Top Urdushayar.com