Tags-Ayaadat

koī 'nāsir' kī ġhazal koī zafar kī mai-tarañg
chāhiye kuchh to mirī shām-e-ayādat ke liye
Ghazal
lafz abhi ijad honge har zarurat ke liye
jo aap aa.eñ pa.e ayādat yaqīñ hai ho jaa.e mujh ko sehat
magar barā-e-ḳhudā ye zahmat kabhī gavāra na kījiyegā
Ghazal
bhala ho jis kaam mein kisi ka to usMein waqfa na kijiyega
vo dam-e-naz.a mire bahar-ayādat aa.e
haal kab pūchhte haiñ jab ki sunā bhī na sakūñ
Ghazal
dil ko aazar laga wo ki chhupa bhi na sakun
ayādat ko mirī aa kar vo ye tākīd karte haiñ
tujhe ham maar Dāleñge nahīñ to jald achchhā ho
Sher
ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
agar vo merī ayādat ko aa gayā hotā
to dostoñ ke bhī chehre utar ga.e hote
Ghazal
agar charagh bhi aandhi se Dar gae hote
vo har dam kī ayādat se mirī ghabrā ke kahte haiñ
ġhazab meñ jaan hai apnī na mar jaa.e na achchhā ho
Ghazal
agar us ka mera jhagDa yahin tai ho to achchha ho

Top Urdushayar.com