Tags-Urdu

hindostāñ kā jaadū saare jahāñ kā jaadū
hindostāñ kā jaadū urdu zabāñ kā jaadū
Nazm
tarana-e-reKHta
sar chaḌh ke boltā hai urdu zabāñ kā jaadū
hindostāñ kī miTTī ke āsmāñ kā jaadū
Nazm
tarana-e-reKHta
Thiik urdu abhī likhnī bhī nahīñ aa.ī hai
aisī kam-ilmī pe kyā ḳhuub ye goyā.ī hai
Ghazal
dosti apni kisi se na shanasai hai
'ġhālib' ke ba.ad urdu ġhazal mar ga.ī 'nizām'
murde pe aisā kaun sā mantar karūñgā maiñ
Ghazal
hairat aur iztirab ko ham-sar karunga main
hamāre zehn meñ dil meñ lahū meñ urdu hai
jiyeñge aur mareñge isī zabāñ ke liye
Ghazal
sukun-e-dil ke liye aur qarar-e-jaan ke liye
pahle thā ahl-e-zabāñ kā daur ab gardish meñ haiñ
chāhiye thī teġh-e-urdu ko fasān-e-lucknow
Ghazal
mujhko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow
'hafīz' apnī bolī mohabbat kī bolī
na urdu na hindī na hindostānī
Sher
hafiz apni boli mohabbat ki boli
mere mahbūb kā urdu se hai rishta kam-kam
mainūñ aañdī na.iiñ punjabi te gal kaise ho
Ghazal
ye zamin chand sitaron ka badal kaise ho
urdu meñ 'mus.hafī' ko bhī ustād kah ke 'shād'
āvāza kas gayā ye javāñ aur kī taraf
Ghazal
ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf
jahāñ pe qatl ho urdu zabāñ nafāsat se
chalo kuchh aaj usī anjuman kī baat kareñ
Ghazal
kabhi to dosto apne watan ki baat karen
salīqe se havāoñ meñ jo ḳhushbū ghol sakte haiñ
abhī kuchh log baaqī haiñ jo urdu bol sakte haiñ
Sher
saliqe se hawaon mein jo KHushbu ghol sakte hain
vo itr-dān sā lahja mire buzurgoñ kā
rachī-basī huī urdu zabān kī ḳhushbū
Ghazal
chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu
vatan meñ rah ke bhī hai be-vatan ye
bahut mazlūm ye urdu zabāñ hai
Ghazal
labon par pyas sab ke be-karan hai
hamārī pyārī zabān urdu
hamārī naġhmoñ kī jaan urdu
Nazm
urdu
ye kaisī bād-e-bahār hai jis meñ shāḳh-e-urdu na phal sakegī
vo kaisā rū-e-nigār hogā na zulf jis par machal sakegī
Nazm
urdu
koī batāo vo kaun sā moḌ hai jahāñ ham jhijak ga.e haiñ
vo kaun sī razm-gāh hai jis meñ ahl-e-urdu dubak ga.e haiñ
Nazm
urdu
hamārī pyārī zabān urdu
hamārī naġhmoñ kī jaan urdu
Nazm
urdu
ġharīb-e-shahr ne rakkhī hai aabrū varna
amīr-e-shahr to urdu zabān bhuul gayā
Ghazal
parinda qaid mein kul aasman bhul gaya
urdu mushā.ere meñ milā ek nau-javān
bolā ki dollaroñ kā sambhālā huā huuñ maiñ
Qita
nisbat
'faiz' ye mujh ko yaqīñ hai sāzishoñ ke bāvajūd
phūltī phaltī rahegī urdu hindostān meñ
Ghazal
tolta kya mujhko koi jauhari mizan mein

Top Urdushayar.com