Tags-But

ham to mas.hūr the shiddat ke sabab bol uThe
vo but-e-sañg bhī mumkin hai ki ab bol uThe
Ghazal
hum to mashur the shiddat ke sabab bol uThe
hai kaam sute matlab bar aave kisī Dhab se
ka.aba jo huā to kyā but-ḳhāna huā to kyā
Ghazal
fasiq jo agar aashiq-e-diwana hua to kya
jaan jaanī hai mirī ai but-e-kam-sin tujh par
mar hī jā.ūñgā galā kaaT ke ik din tujh par
Sher
jaan jaani hai meri ai but-e-kam-sin tujh par
darvāze pe us but ke sau baar hameñ jaanā
apnā to yahī kaaba apnā to yahī haj hai
Ghazal
ruKHsar ke partaw se bijli ki nai dhaj hai
vaq.at-e-mai-ḳhāna bhī apnī jagah kuchh kam nahīñ
qābil-e-tāzīm go ka.aba bhī but-ḳhāna bhī hai
Ghazal
zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai
go apne paas ek nazar ke sivā na thā
ham har but-e-hasīñ ke ḳharīdār ho ga.e
Ghazal
teri talab mein aise giraftar ho gae
kaisā ḳhulūs kis kī mohabbat kahāñ kā ishq
mahshar meñ dāman-e-but-e-ḳhud-sar hai aur ham
Ghazal
hain be-niyaz-e-KHalq tera dar hai aur hum
but-ḳhāne kī raah ko 'sulaimān'
chhoḌo tum aur rah-e-ḳhudā lo
Ghazal
auron ki tarah se ab na Talo
dam-e-āḳhir but-e-bedard kā dāman chhūTā
mere hāthoñ se baḌī chiiz ḳhudā ne le lī
Ghazal
jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
jaan kambaḳht mohabbat meñ bachā.e na bachī
but-e-kāfir se jo chhūTī to ḳhudā ne le lī
Ghazal
jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
jaan ye kah ke but-e-hosh-rubā ne le lī
koī pūchhe to ye kahnā ki ḳhudā ne le lī
Ghazal
jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
nazar sū-e-kāba hai dil but-kade meñ
ham andāz-e-ahl-e-haram dekhte haiñ
Ghazal
sitam mein bhi shan-e-karam dekhte hain
raqs-e-but-e-ġhuncha-lab kasrat-e-aish-o-tarab
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
Ghazal
bazm-e-tarab waqt-e-aish saqi o naql o sharab
na rakh ai dil tū ummīd-e-vafā in be-vafāoñ se
ḳhudā se hai vo begāna jo but ko āshnā jaane
Ghazal
shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane
purānī āstīn se purāne but karo rihā
na.ī zamīn par na.e ḳhudā ko mo'tabar karo
Ghazal
nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo
bazm meñ raat bahut sāda-o-pur-fan the vale
garmī-e-bazm kahāñ us but-e-ayyār baġhair
Ghazal
jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
koī kyuuñ na garebāñ chaak kare ab dekh ke chhab ko us but kī
pinDe kā jhalaknā haa.e ḳhudā, cholī kī masak phir vaisī hī
Ghazal
zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi
huī muddat ki maiñ ne but-parastī chhoḌ dī zāhid
magar ab tak gale meñ dekh le zunnār baaqī hai
Sher
hui muddat ki maine but-parasti chhoD di zahid
ziyārat hogī ka.abe kī yahī ta.abīr hai is kī
ka.ī shab se hamāre ḳhvāb meñ but-ḳhāna aatā hai
Sher
ziyarat hogi kabe ki yahi tabir hai isko

Top Urdushayar.com