Tags-Dost

dil diyā us ko par ye Dartā huuñ
dushman ik dost ke kiyā hamrāh
Ghazal
jite ji bas wo but raha hamrah
vo merā dost hai 'manzūr' lekin jab bhī miltā hai
ḳhulūs-e-dil meñ shāmil kuchh riyā-kārī bhī hotī hai
Ghazal
ilaj-e-zaKHm-e-dil hota hai gham-KHwari bhi hoti hai
jā jo ik din mil ga.ī pahlū meñ shoḳhī dekhiyo
chuTkiyāñ le le meñ niilā kar diyā pahlū-e-dost
Sher
ja jo ek din mil gai pahlu mein shoKHi dekhiyo
na dekh mujh ko mohabbat kī aañkh se ai dost
mirā vajūd mirā mudda.ā na ho jaa.e
Sher
na dekh mujhko mohabbat ki aankh se ai dost
ai dost na pūchh mujh se kyā hai
be-tābī-e-ishq kā fasāna
Qita
ai dost na puchh mujhse kya hai
samajh liyā thā tujhe dost ham ne dhoke meñ
so aaj se tujhe bār-e-digar samajhte haiñ
Sher
samajh liya tha tujhe dost humne dhoke mein
maut kyā aatī bichhaḌ kar dost se
dekh lo 'almās' zinda rah gayā
Ghazal
yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya
dushman o dost se ābād haiñ donoñ pahlū
dil salāmat hai to ghar ishq kā barbād nahīñ
Ghazal
dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin
dil kī shādābī kī zāmin hai tū hī ai yād-e-dost
aa na paa.ī ġham ke phūloñ meñ namī tere baġhair
Ghazal
zist hai ek masiyat soz-e-dili tere baghair
tazkira dehli-e-marhūm kā ai dost na chheḌ
na sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz
Sher
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
maiñ to jaatā huuñ taraf ka.abe ke par kāfir ye paañv
dair ke raste liye jaate haiñ mujh ko sū-e-dost
Sher
main to jata hun taraf kabe ke par kafir ye panw
dostī aam hai lekin ai dost
dost miltā hai baḌī mushkil se
Sher
dosti aam hai lekin ai dost
kudūratoñ ke darmiyāñ adāvatoñ ke darmiyāñ
tamām dost ajnabī haiñ dostoñ ke darmiyāñ
Ghazal
kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan
ishq kī apnī hī rasmeñ haiñ dost kī ḳhātir hāthoñ meñ
jītne vaale patte bhī hoñ phir bhī harne lagte haiñ
Ghazal
sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
ab mirā dard bujh gayā ab mirā zaḳhm bhar chalā
phir vahī dost aa.egā mujh ko yaqīn aa gayā
Ghazal
kar-e-KHulus-e-yar ka mujhko yaqin aa gaya
mizāj le ke bil-āḳhir judā kidhar jaa.e
charāġh-e-dost bane haiñ havā kidhar jaa.e
Ghazal
mizaj le ke bil-aKHir juda kidhar jae
vahī hai nafs-e-mazmūñ sirf tadbīreñ badaltī haiñ
huzūr-e-dost kyā kyā apnī taqrīreñ badaltī haiñ
Ghazal
wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain
kisī ko paane kā ehsās is tarah se rahe
to bazm-e-dost se dushman ko hī uThā diyā jaa.e
Ghazal
diya jala bhi nahin jo use bujha diya jae
ġham ko ġham aur na musībat ko musībat samjho
jo dar-e-dost se mil jaa.e ġhanīmat samjho
Ghazal
kasrat-e-jalwa ko aaina-e-wahdat samjho
dāman-e-dost hai ik zehn ke pardoñ meñ kahīñ
jis qadar haath baḌhāyā hai so vo duur huā
Ghazal
naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

Top Urdushayar.com