Tags-Gareban

junūñ pe koī burā vaqt aa paḌā hai kyā
divāne apne garebān kaise siine lage
Sher
junun pe koi bura waqt aa paDa hai kya
lahū faqīroñ kā soz yaqīñ se thā jab garm
vo nochte the garebān bādshāhoñ ke
Qita
lahu faqiron ka soz-e-yaqin se tha jab garm
kyā kaam mah-e-nau se mujhe maiñ use har dam
dekhūñ huuñ tirā aks-e-garebān samajh kar
Ghazal
mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar
chaak ho parda-e-vahshat mujhe manzūr nahīñ
varna ye haath girebān se kuchh duur nahīñ
Sher
chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin
kalī khile to garebān yaad aatā hai
ye dukh ḳhizāñ meñ kahāñ thā jo ab bahār meñ hai
Ghazal
main kya karun koi sab mere iKHtiyar mein hai
hasrat visāl kī hai gulū-gīr hijr meñ
varna abhī maiñ phāḌūñ garebān-e-zindagī
Ghazal
jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi
kis tarah lagāve koī dāmāñ ko tire haath
hone ko tū ab dast-o-garebān hai maujūd
Ghazal
sab rang mein us gul ki mere shan hai maujud
baġhair chaak kiye ghar se maiñ agar niklūñ
to mujh ko merā garebān rok letā hai
Ghazal
kabhi KHuda kabhi insan rok leta hai
vahshat kī bastī kotāh-dastī
merā garebān labbaik labbaik
Ghazal
tinkon ke arman labbaik labbaik
apne sivā kisī se nahīñ dushmanī 'qamar'
har lamha ḳhud se dast o garebān maiñ bhī huuñ
Ghazal
jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun
dast-e-junūñ ko rokiye ye ḳhabt chhoḌiye
rusvā hai yūñhī chāk-e-garebān-e-lucknow
Nazm
lucknow
hāthoñ kī shikāyat hai hameñ dasht-e-junūñ meñ
paañv meñ ulajhtā hai garebān hamārā
Ghazal
wo ru-e-kitabi to hai quran hamara
nahīñ ma.alūm ki mātam hai falak par kis kā
roz kyuuñ chaak girebān-e-sahar hotā hai
Ghazal
log kahte hain mohabbat mein asar hota hai
phir koī chaak garebān liye phirtā hai
hazrat-e-ishq ne phir koī sharārat kī hai
Ghazal
ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai
vo shaḳhs jo dīvānoñ kī izzat nahīñ kartā
us shaḳhs kā bhī chaak garebān kiyā jaa.e
Ghazal
aao koi tafrih ka saman kiya jae
hijr ke zaḳhm to rusvā hī kareñge mujh ko
aur phir chaak garebān kiyā jā.egā
Ghazal
bhik le kar hi agar dan kiya jaega
vafā na tār-e-garebāñ ne kī nazar kī tarah
nikal gayā to garebān meñ nahīñ aayā
Ghazal
nahin ki main tha mere dhyan mein nahin aaya
ham girebān-e-shab-e-tār TaTolā hī kiye
kaaj tukmoñ se sile the so ujālā na huā
Ghazal
husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
gar sub.h ko maiñ chaak garebān dikhā.ūñ
ai zinda-dilāñ hashr talak shaam na hove
Ghazal
Darta hun mohabbat mein mera nam na howe
aur kyā us ke sivā hāsil rūdād-e-jahāñ
ḳhāk-o-ḳhūñ dast-o-garebān ki jī jāntā hai
Ghazal
bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai

Top Urdushayar.com