Tags-Khamoshi

āñkheñ monalisa jaisī haiñ us kī
ḳhāmoshī ko chehra hote dekhā hai
Ghazal
jabran pyas pe pahra hote dekha hai
amānat māñgtī thī ham se sāmān-e-nigah-dārī
tumhīñ ko shahr-e-ḳhāmoshī kā darbāñ kar diyā ham ne
Ghazal
KHirad ko KHana-e-dil ka nigah-ban kar diya humne
merī ḳhāmoshī pe the jo ta.ana-zan
shor meñ apne hī bahre ho ga.e
Sher
meri KHamoshi pe the jo tana-zan
sun rahā huuñ apnī ḳhāmoshī kā charchā kū-ba-kū
thī fuġhāñ vo bhī jise zabt-e-fuġhāñ samjhā thā maiñ
Ghazal
kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
ik muddat se hosh-o-ḳhabar kī ḳhāmoshī raa.ij hai yahāñ
kaash dayār-e-asr meñ gūñje koī sadā mastāna bhī
Ghazal
lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi
jaal kyuuñ bun rahī hai ḳhāmoshī
phir mulāqāt ho ga.ī hogī
Ghazal
phir wahi baat ho gai hogi
vīrāna bhī ham the ḳhāmoshī bhī ham the dil bhī ham
yaksūī se ishq kiyā aur yaktā.ī se ḳhatm hue
Ghazal
sahraon ke dost the hum KHud-arai se KHatm hue
suḳhan merā udāsī hai sar-e-shām
jo ḳhāmoshī pe taarī ho ga.ī hai
Ghazal
ajab haalat hamari ho gai hai
ab lāzim hai ki tasvīr kiye jaa.eñ
ḳhāmoshī ki tah aag kā bātin aur
Nazm
ek tassur
ḳhāmoshī hamesha se utnī hī gahrī hai
jitnī ki canvas se māvarā tasvīr
Nazm
ek tassur
āvāzoñ meñ bahte bahte
ḳhāmoshī se mar jaatā huuñ
Sher
aawazon mein bahte bahte
jis meñ log rote haiñ jis meñ log hañste haiñ
jis ko sab samajhte haiñ vo zabāñ hai ḳhāmoshī
Ghazal
jawedan hai KHamoshi be-karan hai KHamoshi
jāvedāñ hai ḳhāmoshī be-karāñ hai ḳhāmoshī
lafz gar sitāre haiñ āsmāñ hai ḳhāmoshī
Ghazal
jawedan hai KHamoshi be-karan hai KHamoshi
do nigāheñ kahtī haiñ do nigāheñ suntī haiñ
kis qadar mohabbat par mehrbāñ hai ḳhāmoshī
Ghazal
jawedan hai KHamoshi be-karan hai KHamoshi
merī ḳhāmoshī ko tanhā.ī samajhne vaalo
mahfil-e-dil meñ to aatā bhī hai koī koī
Ghazal
sab madari hain tamasha bhi hai koi koi
pairāhan alfāz ke būToñ vaalā ik
ḳhāmoshī ko pahnāyā jā saktā hai
Ghazal
ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai
andar aisī ḳhāmoshī hai
sannāTe bhī Dar jā.eñge
Ghazal
rafta rafta Dar jaenge
safar meñ bhī musāfir ke bahalne ko ba-ḳhāmoshī
kabhī ahbāb kā qissa kabhī zikr-e-vatan hogā
Ghazal
naqab-e-ruKH uTha kar husn jab jalwa-figan hoga
har koī kyuuñ chup baiThā hai sāhab jī kuchh to bolo
ḳhāmoshī kā kyā qissa hai sāhab jī kuchh to bolo
Ghazal
har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo
kahtā huuñ to tohmat hasad hotī hai
ḳhāmoshī meñ dil ko saḳht kad hotī hai
Rubaai
kahta hun to tohmat hasad hoti hai

Top Urdushayar.com