Tags-Mehfil

har yaad har ḳhayāl hai lafzoñ kā silsila
ye mahfil-e-navā hai yahāñ bolte raho
Ghazal
kahta hai har makin se makan bolte raho
chāñd tanhā.ī ajab chiiz hai kyā jānte ho
tum to mahfil hī sajāte ho chale jaate ho
Ghazal
chand kuchh der ko aate ho chale jate ho
ham un ke rū-ba-rū rahe is maslahat se chup
mahfil meñ apne ijz-e-bayāñ par na aa.e harf
Ghazal
pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf
jo tum kahte ho mujh se pahle tum aa.e the mahfil meñ
to phir tum hī batāo aaj kyā kyā hone vaalā hai
Sher
jo tum kahte ho mujhse pahle tum aae the mahfil mein
saath rahtā hai sadā mahfil o tanhā.ī meñ
dil-e-ram-ḳhurdā magar ham se bhī kam khultā hai
Ghazal
daftar-e-lauh o qalam ya dar-e-gham khulta hai
dil yuuñ bujhā bujhā sā hī kho kar tumhārī yaad
mahfil meñ jaise sham-e-farozāñ nahīñ rahī
Ghazal
mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi
sach kahtā huuñ ik umr se pyāsī hai ye mahfil
paimāna-ba-kaf aa.iye ab der na kiije
Ghazal
har sans ko mahkaiye ab der na kije
ahl-e-mahfil ke liye mushkil hai ab tāb-e-nashāt
aaj paimānoñ se chhalkegī mai-e-nāb-e-nashāt
Nazm
nazr-e-Khaalida
gulshan-e-mashriq meñ manind-e-saba aa.ī hai tū
sub.h-e-raushan kā payām-e-jān-fazā laa.ī hai tū
Nazm
nazr-e-Khaalida
mahram-e-dard-o-masarrat rāz-dār-e-sub.h-o-shām
mahfil-e-fitrat kī ḳhamoshī hai tujh se ham-kalām
Nazm
nazr-e-Khaalida
dil pe kyuuñ kar faash ho jaate haiñ āzādī ke raaz
chheḌte haiñ kis tarah mahfil meñ.... bedārī kā saaz
Nazm
nazr-e-Khaalida
yaad terī ik zamāne se hamārī dil meñ thī
tū yahāñ aane se pahle bhī isī mahfil meñ thī
Nazm
nazr-e-Khaalida
mahfil vahī makān vahī aadmī vahī
yā ham na.e haiñ yā tirī aadat badal ga.ī
Sher
mahfil wahi makan wahi aadmi wahi
jo azal meñ thā vahī nuur hai ki charāġh-e-mahfil-e-tūr hai
koī rahne vaalā zarūr hai mire dil meñ dard ke naam se
Ghazal
wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se
be-maqsad mahfil se behtar tanhā.ī
be-matlab bātoñ se achchhī ḳhāmoshī
Ghazal
tanha tanha sahmi sahmi KHamoshi
tirī nazroñ hī tak thā sab salīqa ahl-e-mahfil kā
tire uThte hī jān-e-husn rañg-e-anjuman bigḌā
Ghazal
rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa
jo tirī yaad meñ har raat bapā hotī hai
aisī mahfil ko 'sahar' bazm-e-azā kahte haiñ
Ghazal
hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain
apnī ḳhātir chhoḌiye auroñ kī ḳhātir hī sahī
kam se kam mahfil meñ tum ko muskurānā chāhiye
Ghazal
kab kaha maine mujhe sara zamana chahiye
dilrubā.ī ke jise ham ne sikhā.e andāz
jān-e-mahfil hai vahī ġhair ke kāshāne meñ
Ghazal
is qadar uski mudaraat hai virane mein
faiz-e-dil se mutrib-e-kāmil huā jaatā huuñ maiñ
bā.is-e-rañgīnī-e-mahfil huā jaatā huuñ maiñ
Ghazal
faiz-e-dil se mutrib-e-kaamil hua jata hun main

Top Urdushayar.com