Tags-Ahvaal

vasl kī shab kā maza hotā hai avval jaise
vaise hī hotā hai ahvāl batar āḳhir-e-shab
Sher
wasl ki shab ka maza hota hai awwal jaise
jo pūchhe mujh sā hai koī bad-zan kaho na ahvāl-e-vasl-e-dushman
ye maiñ ne maanā ki tum ho pur-fan ilaaj kyā chashm-e-sharmgīñ kā
Ghazal
KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka
yuuñ taras khā ke na pūchho ahvāl
tiir siine pe lagā ho jaise
Sher
yun taras kha ke na puchho ahwal
na pūchho ki ahvāl nā-gufta-bah hai
musībat ke maare hue dil kā apne
Ghazal
taDapna bhi dekha na bismil ka apne
fasāna jis ko samajh kar bigaḌ rahe ho tum
jo sun sako to vo ahvāl vāqa.ī bhī hai
Ghazal
bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai
bhalā hogā kuchh ik ahvāl us se yā burā hogā
ma.aal apnā tire ġham meñ ḳhudā jaane ki kyā hogā
Ghazal
bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga
'ġhālib' tirā ahvāl sunā deñge ham un ko
vo sun ke bulā leñ ye ijārā nahīñ karte
Ghazal
ta hum ko shikayat ki bhi baqi na rahe ja
ab apne ghar kā bhī ahvāl lab par lā nahīñ sakte
kiyā karte the ham ahvāl-e-ālam kā bayāñ kyā kyā
Ghazal
wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya
jab kahā maiñ ne ki sun haal kahā ta.an se ye
tum salāmat raho ahvāl sunāne vaale
Ghazal
sun rakh o KHak mein aashiq ko milane wale
ab tak mire ahvāl se vaañ be-ḳhabarī hai
ai nāla-e-jāñ-soz ye kyā be-asarī hai
Ghazal
ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai
kisī rihā.ī kā ahvāl jānñe ke liye
sirhāne baiThe haiñ ḳhāmosh jāñ-ba-lab ke sab
Ghazal
jo motarif the mere shajra-e-nasab ke sab
sune baġhair hī ahvāl-e-vāqa.ī ham se
hameñ supurd-e-havālāt kar ke jaatā hai
Ghazal
kahan wo ruk ke koi baat kar ke jata hai
hameñ us ne sabhī ahvāl se anjān rakkhā
hamāre aur apne biich parda taan rakkhā
Ghazal
hamein usne sabhi ahwal se anjaan rakkha
hamāre nāla-e-dil kā na pūchhiye ahvāl
galī se yaar kī himmat bhī ab ke haar aayā
Ghazal
siyahkar siyah-ru KHata-shiar aaya
suntā nahīñ jo ab mirā ahvāl vāqa.ī
ik roz le kar apne fasāne bhī aa.egā
Ghazal
ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
bātoñ se to nāseh ko ham sīdhā-sāda samjhe the
vo to ik din mai-ḳhāne meñ hazrat ke ahvāl khule
Ghazal
aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule
khil rahā hai mere chehre se mirā ahvāl-e-ġham
kah rahī hai merī ḳhāmoshī hī afsāna mirā
Ghazal
puchhte hain bazm mein sun kar wo afsana mera

Top Urdushayar.com