Tags-Parwana

sham.a hai gul bhī hai bulbul bhī hai parvāna bhī
raat kī raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhī nahīñ
Ghazal
kya kaha phir to kaho dil ki KHabar kuchh bhi nahin
ḳhaak hone pe bhī dāmān sharar hī meñ rahā
kis qadar shoa.la-fishāñ fitrat-e-parvāna hai
Ghazal
kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai
itnī fursat hī kahāñ hai ki tire soḳhta-jāñ
jalne marne meñ ham-āhañgī-e-parvāna kareñ
Ghazal
ashk-e-gul-rang nisar-e-gham-e-jaanana karen
ājizī o ustuvārī mastī o vāraftagī
kis pe ab juz-sham.a betābī-e-parvāna khule
Ghazal
parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule
qāmat-e-parvāna qadd-e-sham.a se kam hai abhī
kīmiyā ho le zarā to qad-e-parvāna khule
Ghazal
parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule
dekhte hī rah ga.e qānūn-e-qudrat ahl-e-zabt
le uḌī ḳhākistar-e-parvāna jab mahfil kī baat
Ghazal
KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat
jahāñ ma.ashūq ho āshiq vahīñ us kā pahuñchtā hai
chaman meñ jaa.e parvāna na bulbul aa.e mahfil meñ
Ghazal
bahaar-e-gulshan-e-hasti hai qaem shadi-o-gham se
parvāna gird sham.a ke shab do ghaḌī rahā
phir dekhī us kī ḳhaak paḌī do ghaḌī ke baad
Ghazal
kya aae tum jo aae ghaDi do ghaDi ke baad
husn kī sham.a kā huuñ parvāna
ḳhalq kahtī hai mujh ko dīvāna
Ghazal
husn ki shama ka hun parwana
soz ulfat ke ḳhudā sham.a nahīñ hai na sahī
phūñk itnā mirī hastī ko ki parvāna bane
Ghazal
jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane
jalva-e-husn agar zīnat-e-kāshāna bane
dastaras sham.a ko hāsil ho to parvāna bane
Ghazal
jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane
jis ne ik jalva ko dekhā jī diyā parvāna-vār
is qadar ai sham.a-rūyāñ husn-sāzī kījiye
Ghazal
nashshe mein ji chahta hai bosa-bazi kijiye
vo mahfileñ purānī afsāna ho rahī haiñ
is bazm meñ to sham.eñ parvāna ho rahī haiñ
Ghazal
wo mahfilen purani afsana ho rahi hain
ishq kī fitrat na badlī hai na badlegī kabhī
sham.a raushan kījiye aatā hai parvāna abhī
Ghazal
josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi
dilā de ham ko bhī sāhab se loyalty kā parvāna
qayāmat tak rahe sayyad tire honour kā afsāna
Sher
dila de hum ko bhi sahab se loyalti ka parwana
laakh jalāyā us ne lekin
zinda hai phir bhī parvāna
Ghazal
kanTe chunna phul bichhana
mat dekh ki kaun hai parvāna
ye soch ki sham.a jalī kyuuñ hai
Ghazal
buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
sham.a bechain hai badnām na ho jā.ūñ kahīñ
par jalā baiThā hai parvāna ḳhudā ḳhair kare
Ghazal
laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair kare
raat charāġh kī mahfil meñ shāmil ek zamāna thā
lekin saath meñ jalne vaalī raat thī yā parvāna thā
Ghazal
raat charagh ki mahfil mein shamil ek zamana tha

Top Urdushayar.com