Tags-Aadmi

ḳhud apnī aadmī ko baḌī qaid-e-saḳht hai
phoḌ ā.īnā va toḌ sikandar kī sad ke ta.iiñ
Sher
KHud apni aadmi ko baDi qaid-e-saKHt hai
'dānish' inkār ḳhāliq se hotā nahīñ
dekhtā huuñ maiñ jab aadmī kī taraf
Ghazal
dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
haiñ mire halqa-e-ilm meñ bil-yaqīñ
āsmāñ ke payām aadmī kī taraf
Ghazal
dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
maut tak dostī nibhāte haiñ
aadmī se bahut baḌe haiñ peḌ
Ghazal
ulTe sidhe gire paDe hain peD
dekhe jo merī nekī ko shak kī nigāh se
vo aadmī bhī to mire andar hai kyā karūñ
Sher
dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se
harf-e-ġhalat dīn-e-kuhan saare hijābāt-e-badan
āzād haiñ sab mard-o-zan sab aadmī sab yaar haiñ
Ghazal
meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain
aadmī be-his-o-mas maiñ sūrat-e-mardum giyāh
shahr meñ huuñ maiñ ilāhī yā kisī jañgal meñ huuñ
Ghazal
sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun
sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe paa.e ga.e
aadmī kyā thā hamāre shahr kā aḳhbār thā
Ghazal
masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha
duniyā kartī hai aadmī ko barbād
afkār se rahtī hai tabī.at nāshād
Rubaai
duniya karti hai aadmi ko barbaad
aadmī kyā haiñ farishte bhī jinheñ sajda kareñ
in dinoñ raqsinda vo sarv-e-ravāñ dehlī meñ haiñ
Nazm
dilli mein hain
mujh ko lagā aam sā ik aadmī
aayā vo jab kaam ke auqāt meñ
Ghazal
hath diya isne mere hath mein
mere ābā-o-ajdād ne hurmat-e-ādmī ke liye
tā-abad raushnī ke liye
Nazm
ek sawal
ek aadmī purāne calender par nishān lagā rahā thā
dūsrā nayā calender haath meñ maroḌ rahā thā
Nazm
parinda kamre mein rah gaya
apnī nazar meñ bhī to vo apnā nahīñ rahā
chehre pe aadmī ke hai chehra chaḌhā huā
Ghazal
apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha
TaTolo parakh lo chalo aazmā lo
ḳhudā kī qasam bā-ḳhudā aadmī huuñ
Sher
TaTolo parakh lo chalo aazma lo
ek rahne se yahāñ vo māvarā kaise huā
sab se pahlā aadmī ḳhud se judā kaise huā
Sher
ek rahne se yahan wo mawara kaise hua
taraqqiyoñ ko tasalsul hai inkisārī meñ
ġhurūr aayā ki bas aadmī ko le Duubā
Ghazal
mere sukun meri har KHushi ko le Duba
taġhayyur kī zamīñ par aadmī kā tez-rau partav
gayā hai sūrat-e-mish.al liye ā.inda sāloñ ko
Ghazal
hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
maiñ farishta samajh samajh rahī thī jise
us kī fitrat bhī aadmī sī hai
Ghazal
aaj mausam mein kuchh nami si hai
jo sach kahūñ to mohabbat-shi.ār 'ajmal' meñ
hazār aib sahī aadmī burā bhī nahīñ
Ghazal
teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin

Top Urdushayar.com