Tags-Raat

kis aarzū meñ uThe kis taraf chale 'anjum'
is aadhī raat meñ ab kis kā dar khulā hogā
Ghazal
hua kare agar usko koi gila hoga
raat chhalkī sharāb āñkhoñ meñ
mahke saare hī ḳhvāb āñkhoñ meñ
Ghazal
raat chhalki sharab aankhon mein
tishna the bahut dhuup meñ bhīge hue manzar
kal raat to sūraj se hī paanī nikal aayā
Ghazal
zaKHmon ko kureda hai to mazi nikal aaya
raat ham ik shā.er-e-āzam ke ghar milne ga.e
bā-dil-nāḳhvāsta khānā use chunñā paḌā
Qita
raat hum ek shaer-e-azam ke ghar milne gae
siyāh raat meñ dil ke muhīb sannāTe
ḳharosh-e-naġhma-e-shola-navā se kam na hue
Ghazal
baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue
bādbāñ kholegī aur band-e-qabā le jā.egī
raat phir aa.egī phir sab kuchh bahā le jā.egī
Ghazal
baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi
raat ko chain se sote haiñ magar vaqt-e-sahar
ḳhvāb ke va.ada-e-tābīr se Dar jaate haiñ
Ghazal
KHak hoti hui tamir se Dar jate hain
guftugū kar ke aaj jugnū se
raat kuchh rā.egāñ nahīñ lagtī
Ghazal
aarzu kaamran nahin lagti
din kā saarā zahr pī kar, aaj phir
raat ke bistar pe mar jā.ūñgā maiñ
Ghazal
dhup ke jate hi mar jaunga main
raat bhar dil se bas yahī bāteñ
din ko phir dard meñ kamī hogī
Ghazal
phir meri rah mein khaDi hogi
nigār-e-mah-vash o mahbūb-e-lāla-rū kī tarah
koī to raat mire ḳhvāb-e-ārzū kī tarah
Ghazal
nigar-e-mah-wash o mahbub-e-lala-ru ki tarah
din dahaktī dhuup ne mujh ko jalāyā der tak
raat tanhā.ī meñ kaalā abr barsā der tak
Ghazal
din dahakti dhup ne mujhko jalaya der tak
tū ye kahtā hai ki tū kal raat mere saath thā
maiñ ye kahtā huuñ ki maiñ ne tujh ko DhūñDā der tak
Ghazal
din dahakti dhup ne mujhko jalaya der tak
jaage ki koī so.e ham farz nibhā aa.e
ham raat kī galiyoñ maiñ āvāz lagā aa.e
Ghazal
jage ki koi soe hum farz nibha aae
raat din ke maḳhmase se ai junūñ paa.ī najāt
ablaq-e-ayyām bhāgā merī vahshat dekh kar
Ghazal
haal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar
band-bājā hai thoḌī der kā bas
raat bhar kis ne raqs karnā hai
Ghazal
sab ke aage nahin bikharna hai
abhī se achchhā huā raat so ga.ī varna
kabhī to ḳhatm-e-safar ratjage kā honā thā
Sher
abhi se achchha hua raat so gai warna
raat Dhalnī hai din nikalnā hai
aur bahut duur mujh ko chalnā hai
Qita
raat Dhalni hai din nikalna hai
kuchh log ḳhayāloñ se chale jaa.eñ to so.eñ
biite hue din raat na yaad aa.eñ to so.eñ
Ghazal
kuchh log KHayalon se chale jaen to soen
aamad pe us kī phuul kī sūrat tamām raat
ek us kī rahguzar pe bikharnā paḌā mujhe
Ghazal
har lamha chand chand nikharna paDa mujhe

Top Urdushayar.com