Tags-Rekhta

'qā.em' maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā
Sher
qaem main reKHta ko diya KHilat-e-qubul
yaar ke aage paḌhā ye reḳhta jā kar 'nazīr'
sun ke bolā vāh-vāh achchhā kahā achchhā kahā
Ghazal
yar ne hum ko agar ruswa kaha achchha kaha
ai 'mus.hafī' ustād-e-fan-e-reḳhta-goī
tujh sā koī aalam ko maiñ chhānā nahīñ miltā
Sher
ai mushafi ustad-e-fan-e-reKHta-goi
vo shakkarīñ-lab ne gosh-e-dil señ tamām sun kar yuuñ reḳhta kuuñ
kahā vo mīThe bachan señ mujh kuuñ 'sirāj' shīrīñ kalām dastā
Ghazal
nayan ki putli mein ai sirijan tera mubarak maqam dista
'mīr' kis ko ab dimāġh-e-guftugū
umr guzrī reḳhta chhūTā gayā
Ghazal
dil jo tha ek aabla phuTa gaya
āñkheñ na churā 'mus.hafī'-e-reḳhta-go se
ik umr se terā hai sanā-ḳhvān idhar dekh
Ghazal
hum bhi hain tere husn ke hairan idhar dekh

Top Urdushayar.com