Tags-Shahr

ye samajh lo ki vo hai ilm-o-hunar kā madfan
jab kisī shahr meñ tum ġhalba-e-mullā dekho
Ghazal
zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho
hujūm-e-ārzū se shahr-e-dil ābād karte haiñ
ham apnī ḳhaak apne haath se barbād karte haiñ
Ghazal
chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain
nazar meñ sher sajāte ġhazal samā.at meñ
suḳhan ke shahr meñ aisā nagar zarūrī thā
Ghazal
dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha
tū lā-javāb hai sab ittifāq rakhte haiñ
magar ye shahr ke fānūs jal ke dekhte haiñ
Ghazal
tamam bhiD se aage nikal ke dekhte hain
har-chand shahr shahr hai jashn-e-sahar magar
vo raushnī kahāñ hai saverā kaheñ jise
Ghazal
apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
tujh ko to ābād lagā kartī haiñ ye āñkheñ
vīrānī kā shahr basā hai āñkhoñ ke us paar
Ghazal
mujhko to kuchh aur dikha hai aankhon ke us par
chehroñ pe likhā hai koī apnā nahīñ miltā
kyā shahr hai ik shaḳhs bhī jhūTā nahīñ miltā
Ghazal
chehron pe likha hai koi apna nahin milta
tah meñ aksāñ naqsh-o-manāzir
uupar shahr ke bahtā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
aaj bhī tere shahr haiñ pyāse
ab bhī duur hai ḳhema dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
ham to āshiq haiñ hamārā to chalo kaam sahī
sajde is shahr kā dastūr na ho jaa.eñ kahīñ
Ghazal
hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin
shahr meñ qāfiya-paimā.ī bahut kī 'ātish'
ab irāda hai mirā bādiya-paimā.ī kā
Sher
shahr mein qafiya-paimai bahut ki aatish
ujḌe haiñ ka.ī shahar, to ye shahar basā hai
ye shahar bhī chhoḌā to kidhar jāoge logo
Ghazal
sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo
uḌ rahī hai shahr ke saare galī kūchoñ meñ ḳhaak
jitne āshiq the vo sab khāne-kamāne lag ga.e
Ghazal
tum shujaat ke kahan qisse sunane lag gae
chhoḌ duuñ shahr tirā chhoḌ duuñ duniyā terī
mujh ko mālūm na thā kyā hai tamannā terī
Ghazal
chhoD dun shahr tera chhoD dun duniya teri
tamām-shahr hai hañgāma-e-nashāt meñ gum
magar ye karb ye sannāTā mere andar kā
Ghazal
qarib aa ki KHazana hun lal-o-gauhar ka
paañv rakhne ke liye koī jagah to chāhiye
shahr ke is baab meñ merā guzar utnā hī hai
Ghazal
kisa-e-darwesh mein jo bhi hai zar utna hi hai
tere shahr kā qissa mere shahar kī gāthā
saaf saaf dhuñdhlāhaT zañg zañg ā.īna
Ghazal
tere sath chehre hain mere sang aaina
fitrat meñ hai daulat ke khilaunoñ se bahalnā
ik dost mirā shahr meñ bachchoñ kī tarah hai
Ghazal
shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai
gar rahūñ shahr meñ ho duud ke baa.is ḳhafaqāñ
jā.ūñ sahrā ko to dam gard-e-bayābāñ roke
Sher
gar rahun shahr mein ho dud ke bais KHafaqan
itnā āsāñ nahīñ masnad pe biThāyā gayā maiñ
shahr-e-tohmat tirī galiyoñ meñ phirāyā gayā maiñ
Ghazal
itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main

Top Urdushayar.com