Tags-Yaad

zindagī apnī jab is shakl se guzrī 'ġhālib'
ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the
Sher
zindagi apni jab is shakl se guzri ghaalib
jab bhī vālid kī jafā yaad aa.ī
apne daadā kī ḳhatā yaad aa.ī
Sher
jab bhi walid ki jafa yaad aai
tamām raat vo pahlū ko garm kartā rahā
kisī kī yaad kā nashsha sharāb jaisā thā
Ghazal
KHayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha
ab terī daad na fariyād kiyā kartā huuñ
raat din chupke paḌā yaad kiyā kartā huuñ
Sher
ab teri dad na fariyaad kiya karta hun
kisī kā saath sonā yaad aatā hai to rotā huuñ
mire ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
Ghazal
nahin sunta nahin aata nahin bas mera chalta hai
maiñ ne jis ko yaad kiyā thā
tere haath kā likkhā niklā
Ghazal
tera wada jhuTa nikla
yaad rakhne ke liye lamhe guzishta vaqt ke
ab kitāb-e-māzī ke panne TaTole jā.eñge
Ghazal
dekhen ab kya dil-jalon se bol bole jaenge
kiyā hai yaad mujhe mere ba.ad duniyā ne
huā jo ġharq to sāhil qarīb aane lagā
Ghazal
KHayal yar mujhe jab lahu rulane laga
vo tere bichhaḌne kā samāñ yaad jab aayā
biite hue lamhoñ ko sisakte hue dekhā
Ghazal
ghuncha jo sar-e-shaKH chaTakte hue dekha
jab se chhīnī hai tirī yaad ne niiñd ā.ankhoñ kī
dil kī jo his hai vo bedār huī jaatī hai
Ghazal
fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai
bañdhe hue the ka.ī ahd gar karo mahsūs
karo jo yaad to va.ada koī huā bhī na thā
Ghazal
pul-e-siraat na tha dasht-e-nainawa bhi na tha
aap se yaad aap kī achchhī
aap to ham ko bhuul jaate haiñ
Sher
aap se yaad aap ki achchhi
ḳhair us se na sahī ḳhud se vafā kar Daalo
vaqt ab kam hai bahut yād-e-ḳhudā kar Daalo
Ghazal
KHair us se na sahi KHud se wafa kar Dalo
nam haiñ palkeñ tirī ai mauj-e-havā raat ke saath
kyā tujhe bhī koī yaad aatā hai barsāt ke saath
Ghazal
nam hain palken teri ai mauj-e-hawa raat ke sath
sahj yaad aa gayā vo laal holī-bāz juuñ dil meñ
gulālī ho gayā tan par mire ḳhirqa jo ujlā thā
Sher
sahj yaad aa gaya wo lal holi-baz jun dil mein
jab us ke paas maiñ aatā huuñ
kyā kahtā huuñ kuchh yaad nahīñ
Nazm
dukh ki aankhen nili hain
ābshāroñ kī yaad aatī hai
phir kināroñ kī yaad aatī hai
Ghazal
aabshaaron ki yaad aati hai
jo nahīñ haiñ magar unhīñ se huuñ
un nazāroñ kī yaad aatī hai
Ghazal
aabshaaron ki yaad aati hai
zaḳhm pahle ubhar ke aate haiñ
phir hazāroñ kī yaad aatī hai
Ghazal
aabshaaron ki yaad aati hai
aa.ine meñ nihār kar ḳhud ko
kuchh ishāroñ kī yaad aatī hai
Ghazal
aabshaaron ki yaad aati hai

Top Urdushayar.com