Tags-Bahana

jiine ko ek-ādh bahāna kaafī hotā hai
sachchā ho to ek fasāna kaafī hotā hai
Ghazal
jine ko ek-adh bahana kafi hota hai
kabhī rūThne kā sabab ho gayā hai
kabhī rābtoñ kā bahāna khilaunā
Ghazal
baDa KHubsurat suhana khilauna
tumhāre va.ada-e-fardā kā hiila
qayāmat kā bahāna ho gayā hai
Ghazal
qarar-e-dil fasana ho gaya hai
hijr terā terī qurbat kā bahāna ho gayā
yaad meñ terī hamārā aanā jaanā ho gayā
Ghazal
hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya
sukūn-e-dil ke liye ishq to bahāna thā
vagarna thak ke kahīñ to Thahar hī jaanā thā
Ghazal
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
ghar badalnā to bahāna hai bahāna kar ke
andar andar hī se insān kahāñ jaatā hai
Ghazal
mauja-e-KHun-e-pareshan kahan jata hai
ye shā.irī to mirī jaañ bas ik bahāna hai
sharīk yuuñ bhī nahīñ hote khel-vel meñ ham
Ghazal
bichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum
kar liyā va.ada lo phir us ne jo milne kā phir
dekhnā kal nayā kyā yaad bahāna aayā
Ghazal
phir zaban pe wahi bhula sa fasana aaya
vo pūchhtā thā mirī aañkh bhīgne kā sabab
mujhe bahāna banānā bhī to nahīñ aayā
Ghazal
nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
jā ke ham dekh chuke band hai darvāza-e-shahr
ek raat aur ye rukne kā bahāna achchhā
Ghazal
sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sab se baḌā fareb hai ḳhud zindagī 'adā'
is hīla-jū ke saath haiñ ham bhī bahāna-sāz
Sher
sab se baDa fareb hai KHud zindagi ada
ḳhud apne hijr kī ḳhvāhish mujhe aziiz rahī
ye tere vasl kā qissa to ik bahāna huā
Ghazal
saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua
kyā aur na thā tark-e-ta.alluq kā bahāna
sunte haiñ ki ab tum hameñ rusvā na karoge
Ghazal
har rose hi imroz ko farda na karoge
hañsī hañsī meñ bhī kyā kyā gurez-pā.ī hai
tarāshte haiñ bahāna koī mazāq nahīñ
Ghazal
sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin
jaan lene aa.e the 'shā.ir' vahī
maut kā to ik bahāna ho gayā
Ghazal
shair-e-rangin fasana ho gaya
ye sochtā huuñ ki āḳhir vo maslahat kyā thī
ki jis se tark-e-ta.alluq kā ik bahāna huā
Ghazal
samand-e-shauq pe KHat us ka taziyana hua
agar maiñ haarā to maan lūñgā shikast apnī
tirī tarah se koī bahāna nahīñ karūñgā
Ghazal
nahin uDaunga KHak roya nahin karunga
ham jī rahe haiñ koī bahāna kiye baġhair
us ke baġhair us kī tamannā kiye baġhair
Ghazal
hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair
maut kī dastaras meñ kab se haiñ
zindagī kā koī bahāna bane
Ghazal
mir-o-ghaalib bane yagana bane
us kā hañsnā yaad aatā hai rulāne ke liye
kuchh bahāna chāhiye aañsū bahāne ke liye
Ghazal
sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye

Top Urdushayar.com