Tags-Dariya

dariyā tire jamāl ke haiñ kitne is meñ gum
sochā to apnā dil bhī samundar lagā mujhe
Ghazal
tera KHayal jaan ke barabar laga mujhe
iḳhtilāf-e-zehn-e-fitrat zindagānī kā sarāb
ishtirāk-e-bāhamī hī maujib-e-dariyā huā
Ghazal
jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua
apnā nafas nafas hai ki sho.ala kaheñ jise
vo zindagī hai aag kā dariyā kaheñ jise
Ghazal
apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
chand qatre rah ga.e the aañkh meñ
vo bhī dariyā kī ravānī ho ga.e
Ghazal
sang the pighle to pani ho gae
āñkhoñ ke is paar to jaise dariyā Thahar gayā
lekin sahrā bikhar gayā hai āñkhoñ ke us paar
Ghazal
mujhko to kuchh aur dikha hai aankhon ke us par
sapnā koī bikhar chukā hai āñkhoñ ke us paar
dariyā jaise TuuT paḌā hai āñkhoñ ke us paar
Ghazal
mujhko to kuchh aur dikha hai aankhon ke us par
chāhat kī qabā meñ to badan aur jaleñge
sahrā ke shajar se koī dariyā nahīñ miltā
Ghazal
chehron pe likha hai koi apna nahin milta
aaj bhī tere shahr haiñ pyāse
ab bhī duur hai ḳhema dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
tah meñ aksāñ naqsh-o-manāzir
uupar shahr ke bahtā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
aao ye afvāh uḌā.eñ
ham ne ḳhvāb meñ dekhā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
apnā saaya DhūñD rahā huuñ
shaam hai pal-bhar tham jā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
lahroñ kī tahrīr kināre
ret pe likkhā qissa dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
duur charāġh kī lau par zinda
sarmā kā barfīlā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
us ko baḌā raas aayā dariyā
maiñ aur des nikālā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
pul par ġhota-ḳhor pale haiñ
sikka bhārī halkā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
ḳhushk darāroñ vaalā dariyā
zer zamīñ hai baalā dariyā
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
punjab ko dekho to ik aag kā dariyā hai
kashmīr meñ jannat kī tasvīr nahīñ miltī
Sher
punjab ko dekho to ek aag ka dariya hai
jab iḳhtilāf meñ sar ko uThā.e hoñ maujeñ
to ai 'guhar' kabhī dariyā ko paar mat karnā
Ghazal
waqar de ke kabhi be-waqar mat karna
tirī yādoñ kī pathrīlī zamīñ shādāb ho jaatī
agar āñkhoñ ke sahrā se koī dariyā nikal aatā
Ghazal
mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata
yūñhī maiñ tairtā phirtā nahīñ sahrāoñ meñ
ek dariyā kī nasīhat mire kaam aa.ī hai
Ghazal
kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai

Top Urdushayar.com