Tags-Dost

mere liye ai dost bas itnā hī bahut thā
jaisā tujhe sochā thā tū vaisā nikal aatā
Ghazal
mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata
saath paḌhtī ho Thiik hai lekin
dost se dostī na kar lenā
Ghazal
KHwab se dil-lagi na kar lena
mujh se kahte ho ki maiñ hargiz nahīñ piitā sharāb
maiñ tumhārā dost yā dushman ki sharmāte ho tum
Ghazal
naseho dil kis kane hai kis ko samjhate ho tum
ho dost ki dil koī chhupā.e nahīñ chhuptā
har choT ke pahlū meñ ik ā.īna lagā hai
Ghazal
dard in dinon yun chehra-e-alam pe saja hai
ḳhush raheñge vo dost tum se bhī
sāmne un ke naam japne haiñ
Ghazal
dost apne hain log apne hain
dost apne haiñ log apne haiñ
jhuuT par jin ke hoñT kapne haiñ
Ghazal
dost apne hain log apne hain
muddateñ guzrīñ magar ai dost tere naam par
Dol jaatī hai mire dil kī tarāzū aaj bhī
Ghazal
dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi
razā-e-dost ke hote haiñ aur kyā ma.anī
ki mujh se un kā kabhī aaj tak gilā na huā
Ghazal
wo waqiat kise yaad ek zamana hua
bad-gumānī ne mujhe kyā kyā satāyā kyā kahūñ
sub.h ko bikhre hue dekhe the ik din mū-e-dost
Sher
bad-gumani ne mujhe kya kya sataya kya kahun
ġham-e-dost dar-haqīqat tirā rahnumā-e-manzil
vahī kam-nigāh niklā jise hausla nahīñ hai
Ghazal
teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai
thā muqābil jo mire dost mirā
mujh ko achchhī lagī paspā.ī bhī
Ghazal
wo bhi bigDa, hui ruswai bhi
ham ne ai dost rifāqat se bhalā kyā paayā
jū-e-be-āb hai tū maiñ shajar-e-be-sāya
Ghazal
humne ai dost rifaqat se bhala kya paya
tirī nigāh se pī le jo ek baar ai dost
tamām umr vo phir mai-kashī kā naam na le
Ghazal
ye daur-e-ahl-e-hawas hai karam se kaam na le
hijr insāñ ke ḳhad-o-ḳhāl badal detā hai
kabhī fursat meñ mujhe dekhne aanā mire dost
Sher
hijr insan ke KHad-o-Khaal badal deta hai
dost se ḳhvāh vo adū se mile
na hue ham to phir kasū se mile
Ghazal
dost se KHwah wo adu se mile
ye vo galī hai jahāñ shādmānī rahtī hai
so mere dost yahāñ se guzar udaas udaas
Ghazal
firaq-e-yar mein hun is qadar udas udas
dostoñ se hai un kī ayyārī
aur a.adā se dost-dārī hai
Ghazal
wo mizha marti kaTari hai
mudda.ī ko sharāb ham ko zahar
āqibat dost-dār haiñ ham bhī
Ghazal
aaj-kal be-qarar hain hum bhi
gard-ālūda thiiñ āñkheñ intizār-e-dost meñ
dhul rahī haiñ vasl meñ vo āñsuoñ kī dhaar se
Ghazal
ab koi hujjat nahin iqrar ko inkar se
tū apnī ḳhatāoñ par nādim bhī zarā ho jā
ai dost agar tujh meñ thoḌī bhī sharāfat hai
Ghazal
mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai

Top Urdushayar.com