Tags-Dost

jab bhī nekī kā koī kaam kiyā hai ham ne
de diyā rab ne hameñ aap se pyārā koī dost
Ghazal
Dubta saf nazar aaya kinara koi dost
Dūbtā saaf nazar aayā kināra koī dost
phir bhī kashtī se nahīñ ham ne utārā koī dost
Ghazal
Dubta saf nazar aaya kinara koi dost
ruuTh jaa.e mirī āñkhoñ se bhale bīnā.ī
kaash rūThe na 'vasī' aañkh kā taarā koī dost
Ghazal
Dubta saf nazar aaya kinara koi dost
ishq ik jins-e-girāñ-māyā hai ik daulat hai
ye magar umr kā hāsil to nahīñ hai ai dost
Qita
ishq ek jins-e-giran-maya hai ek daulat hai
payām-e-dost huā qāsidoñ ko vaj.h-e-sharaf
nasīm-e-misr se izzat hai kārvāñ ke liye
Ghazal
jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye
jo kū-e-dost ko jā.ūñ to pāsbāñ ke liye
nahīñ hai ḳhvāb se behtar kuchh armuġhāñ ke liye
Ghazal
jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye
ai dost arz-e-ġham pe na yuuñ muskurā ke dekh
apnī nazar meñ aap girā jā rahā huuñ maiñ
Sher
ai dost arz-e-gham pe na yun muskura ke dekh
apne man kā aks hai apnī sadā kī bāzgasht
dost dushman āshnā nā-āshnā koī nahīñ
Ghazal
lab se dil ka dil se lab ka rabta koi nahin
tū mire saath ab nahīñ hai dost
chāñdnī kis liye tarastī hai
Qita
tu mere sath ab nahin hai dost
ye shān-e-dilbarī hai ki vo jab bhī mil gayā
paayā mizāj-e-dost ko āsūda-e-tarab
Ghazal
zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab
sau sau tarah se tujh ko sañvārā hai husn-e-dost
sau sau tarah se rañg badalte rahe haiñ ham
Ghazal
KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum
dost bichhḌe haiñ ka.ī baar magar
ye nayā daaġh khulā hai ab ke
Ghazal
phul KHushbu se juda hai ab ke
ḳhud-baḳhud hī dost ban kar bante haiñ dushman ye log
varna az-ḳhud to mujhe zauq-e-shanāsā.ī na thā
Ghazal
shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha
ham se āzurda hai tabassum-e-dost
isī husn-e-adā kī baat kareñ
Ghazal
rasm-e-mehr-o-wafa ki baat karen
haiñ but-parast dair meñ haajī haiñ ka.aba meñ
tālib razā-e-dost ke dharne diye hue
Ghazal
KHamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue
kise ham dost samjheñ is jahāñ meñ aur kise dushman
ki jo samjhāne vaale haiñ vahī bahkāne vaale haiñ
Ghazal
teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain
jo aa ga.ī kabhī sar dene kī ghaḌī ai dost
ḳhushī ḳhushī tire dīvāne sū-e-dār chale
Ghazal
ba-qadr-e-zarf mohabbat ka karobar chale
dost dushman ho ga.e yāroñ ne āñkheñ pher liiñ
rah gayā hai aap kā mujh ko bharosā ek aur
Ghazal
daur saghar ka chale saqi dobara ek aur
taqrīr kā hai ḳhaas adā-e-bayāñ meñ lutf
suniye mirī zabān se kuchh mājrā-e-dost
Ghazal
dil is liye hai dost ki dil mein hai ja-e-dost
miTne kī aarzū hai isī rahguzār meñ
itne miTe ki log kaheñ ḳhāk-e-pā-e-dost
Ghazal
dil is liye hai dost ki dil mein hai ja-e-dost

Top Urdushayar.com