Tags-Ehsaan

baḌe ehsān haiñ mujh par tirī ma.asūm yādoñ ke
maiñ tanhā rāsto meñ bhī kabhī tanhā nahīñ hotā
Ghazal
jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota
merā ehsān hai merā āshiq-e-sādiq hai sanam
jabki ye bhī na ho maiñ paḌhūñ ash.ār ki tū
Ghazal
kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu
ehsān jo ajal se kaam terā bigḌe
is vaqt na ho dil meñ jahāñ ke jhagḌe
Rubaai
ehsan jo ajal se kaam tera bigDe
uThā.e phirte the ehsān jism kā jaañ par
chale jahāñ se to ye pairahan utaar chale
Ghazal
ruke ruke se qadam ruk ke bar bar chale
'qaisar' qalam kī aag kā ehsānmand huuñ
jab uñgliyāñ jalīñ to ġhazal aa ga.ī mujhe
Ghazal
barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
kis kaam ye aa.egī masīhā.ī tumhārī
ehsān karo āshiq-e-be-jāñ kī ḳhabar lo
Ghazal
tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo
us ke ehsān se inkār nahīñ hai lekin
naqsh paanī pe 'zafar' kaise banāyā jaa.e
Ghazal
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
farq kahāñ rah jā.egā phir ham donoñ meñ
ham bhī gar ehsān jatā.eñ aap batā.eñ
Ghazal
kis ko apna haal sunaen aap bataen
hai usī sāhib-e-me.arāj kā ehsān ki ham
ḳhaak ho kar bhī magar shams-o-qamar tak pahuñche
Ghazal
sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche
jab na ehsān rahegā na kahānī us kī
aap dohrā.eñge 'ehsān' ke afsāne ko
Ghazal
yaad teri jo kabhi aati hai bahlane ko
lazzat-e-dard se sairāb mujhe is ne kiyā
mujh pe ik shaḳhs kā ehsān thā tum jānte the
Ghazal
TuT jaane ka bhi imkan tha tum jaante the
ḳhuddār tabī.at hai apnī fāqoñ pe basar kar lete haiñ
ehsān kisī kā duniyā meñ hargiz na gavārā karte haiñ
Ghazal
din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
mutma.in hai jo muqaddar se 'majīd'
hai ye allāh kā ehsān bahut
Ghazal
zindagi chhoTi hai saman bahut
begam bhī jān-o-dil se thiiñ un kī rafīq-e-kār
ehsān laḌkiyoñ pe haiñ un ke bhī be-shumār
Nazm
papa miyan
jīte-jī ham se kabhī harf-e-vafā kah Daalo
phir ye hogā bhī jo ehsān to kis par hogā
Ghazal
didani ab safar-e-zist ka manzar hoga
ye zaḳhm-e-dil nahīñ ehsān kī nishānī hai
ham us nigāh kā ehsān le ke aa.e haiñ
Ghazal
hum apne-ap ki pahchan le ke aae hain
ik jaisā dukh mil kar bāñTā karte haiñ
ik duuje par ham ehsān nahīñ karte
Ghazal
kis lamhe hum tera dhyan nahin karte
ab saath nahīñ hai bhī to shikva nahīñ 'aḳhtar'
ehsān bhī mujh par mire bhaa.ī ke bahut the
Ghazal
qisse meri aashufta-nawai ke bahut the
mujh ko ḳhushī ye hai ki ḳhushī kā
mujh pe koī ehsān nahīñ hai
Ghazal
jaan nahin pahchan nahin hai
apnā jab bojh mirī jaan uThānā paḌ jaa.e
dūsroñ kā na kuchh ehsān uThānā paḌ jaa.e
Ghazal
apna jab bojh meri jaan uThana paD jae

Top Urdushayar.com