Tags-Ghar

qadam rakhe mirī ḳhushbū ki ghar ko lauT aa.e
koī batā.e mujhe kū-e-yār kā mausam
Ghazal
KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam
kisī kisī ko thamātā hai chābiyāñ ghar kī
ḳhudā har ek ko apnā pata nahīñ detā
Sher
kisi kisi ko thamata hai chabiyan ghar ki
kyuuñ pareshān hai tū ai mire gum-karda-e-rāh
raah dushvār hai lekin mire ghar tak aa.e
Ghazal
zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae
agar tashvīsh lāhaq hai to sultānoñ ko lāhaq hai
na terā ghar hai ḳhatre meñ na merā ghar hai ḳhatre meñ
Ghazal
watan ko kuchh nahin KHatra nizam-e-zar hai KHatre mein
dil kahāñ pahlū meñ jo ham deñ tumheñ
ye to ghar ik umr se vīrān hai
Ghazal
kya ada kiya naz hai kya aan hai
chalā ghar se vo bahr-e-husn allāh re kashish dil kī
ajab qatra hai jo khīñche liye jaatā hai dariyā ko
Sher
chala ghar se wo bahr-e-husn allah re kashish dil ki
be-zarūrat ghar se nikleñ aur phir
shai ḳharīdeñ koī mahñge daam par
Ghazal
subh ka dhoka hua hai sham par
be-dilī hoshyār pahuñchī mujh se pahle thī vahāñ
meñ gayā jis anjuman meñ ghar se uktāyā huā
Ghazal
chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua
ab is ghar kī ābādī mehmānoñ par hai
koī aa jaa.e to vaqt guzar jaatā hai
Sher
ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai
āñdhiyāñ tez huī jaatī haiñ
ghar bulātā hai chaloge kab tak
Ghazal
but bane rah takoge kab tak
ba.ad-e-tauba ātish-e-sayyāl-e-ḳhum
mere ghar se ho ke paanī jā.egī
Ghazal
hogi wo dil mein jo Thani jaegi
jā chuke haiñ aap kal dushman ke ghar
aaj marg-e-nā-gahānī jā.egī
Ghazal
hogi wo dil mein jo Thani jaegi
kabhī to aisā bhī ho raah bhuul jā.ūñ maiñ
nikal ke ghar se na phir apne ghar meñ aa.uuñ maiñ
Ghazal
kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main
ik shab hamāre bazm meñ juute jo kho ga.e
ham ne kahā batā.iye ghar kaise jā.eñge
Qita
ek shab hamare bazm mein jute jo kho gae
maiñ ne bhī parchhā.iyoñ ke shahr kī phir raah lī
aur vo bhī apne ghar kā ho gayā honā hī thā
Sher
maine bhi parchhaiyon ke shahr ki phir rah li
aaj siine meñ mire dil hai nipaT hī be-qarār
de hai 'hasrat' ġhair ke ghar us ke jaane kī ḳhabar
Ghazal
jaan kar kahta hai humse apne jaane ki KHabar
yuuñ to duniyā-jahān ghūme magar
log ghar se nikal nahīñ paa.e
Ghazal
lakh badla badal nahin pae
raas aa chalī thī dil kī fazā-e-junūn-e-shauq
bahkā ke mujh ko dasht se ghar kaun le gayā
Ghazal
maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya
ghar se nikal paḌe haiñ to ab kyā ye dekhnā
raste se sāya-dār shajar kaun le gayā
Ghazal
maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya
us ke ushshāq ho ga.e vahshī
sab ye ḳhāna-ḳharāb ghar bhūle
Ghazal
isko surat ko dekh kar bhule

Top Urdushayar.com