Tags-Ghar

tasvīr se bāhar aa.e kuchh der
ghar bhar ko udaas kar ga.e ham
Ghazal
guzre nahin aur guzar gae hum
ai shām-e-hijr-e-yār mirī tū gavāhī de
maiñ tere saath saath rahā ghar nahīñ gayā
Sher
ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de
āh-e-rasā ḳhudā ke liye dekh-bhāl ke
un kā bhī ghar milā huā dushman ke ghar se hai
Sher
aah-e-rasa KHuda ke liye dekh-bhaal ke
koī yahāñ se chal diyā raunaq-e-bām-o-dar nahīñ
dekh rahā huuñ ghar ko maiñ ghar hai magar vo ghar nahīñ
Ghazal
tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin
mujh se bigaḌ kar apne ghar jā.iye ḳhair jā.iye
aap ne ye samajh liyā aah meñ kuchh asar nahīñ
Ghazal
tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin
dair ko ham ghaTā.eñ kyuuñ kaabe ko ham baḌhā.eñ kyuuñ
kyā hai ḳhudā kā ghar yahī kyā vo ḳhudā kā ghar nahīñ
Ghazal
tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin
ek phañsī hī zulfoñ meñ ik chāh-e-zaqan haiñ Duubī hai
diida o dil meñ phuuT paḌī hai ghar ko Dubā.e dete haiñ
Ghazal
ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain
kaun hai jo ki sarāboñ se ulajhnā chāhe
kaun hai jo ki mire ghar kā pata māñge hai
Ghazal
aaina pyar ka ek aks tera mange hai
ghar mirā jal gayā lekin ye tasallī hai mujhe
aag jo de ke ga.e aag bujhāne aa.e
Ghazal
rah-e-ulfat mein maqamat purane aae
ye kyā sabab jo idhar chāñdnī nahīñ aatī
ḳhudā ne chāñd banāyā hai sab ke ghar ke liye
Sher
ye kya sabab jo idhar chandni nahin aati
kaise kaise makīn the us ke
itnā vīrāñ kahāñ thā ghar merā
Ghazal
phir usi samt hai safar mera
pūchh lenā dar-o-dīvār kā haal
ai bagūlo jo mire ghar jaanā
Ghazal
sang-e-dushnam ko gauhar jaana
ghar ko jaane kā rāsta nahīñ thā
varna karne ko kyā se kyā nahīñ thā
Ghazal
ghar ko jaane ka rasta nahin tha
ghar-bhar sotā hai ek betāb
aaheñ bhar kar taḌap rahā hai
Nazm
hijr
jaltī bujhtī raushnī kā khel bachchoñ ko dikhā.eñ
sham.a rakkheñ haath meñ ghar meñ havā raushan kareñ
Ghazal
silsile ke baad koi silsila raushan karen
ek aaseb hai har ik ghar meñ
ek hī chehra dar-ba-dar chamke
Sher
ek aaseb hai har ek ghar mein
aaj bhī sūraj ke bujhte hī halkī gahrī shaam huī
aaj bhī ham ne tanhā ghar meñ añgāre dahkā.e haiñ
Ghazal
ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
shikva ham tujh se bhalā tez havā kyā karte
ghar to apne hī charāġhoñ se jalā kyā karte
Ghazal
shikwa hum tujhse bhala tez hawa kya karte
ḳhud apne shahr hī meñ huuñ musāfir
maiñ ghar kā rāsta bhūlā huā huuñ
Ghazal
koi ahd-e-wafa bhula hua hun
is meñ ai ahl-e-vatan raa.e tumhārī kyā hai
kahtī hai vahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko
Ghazal
bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko

Top Urdushayar.com