Tags-Ghar

kisī jalse meñ jo 'īmān' kaho to jāneñ
ghar meñ yuuñ baiThe hue sher banā lījiyegā
Ghazal
diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
aate hī is ḳhayāl ke ghar-bār bech kar
saaqī ke paas pahle gayā iztirāb meñ
Nazm
taqaddus-e-maab
vo ek banjar zamīn ghar kī jo sun rahī thī sabhī ke ta.ane
ḳhushā ki is baar is zamīñ ko bhī de gayā ik gulāb mausam
Ghazal
tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam
ubharte Dūbte rishtoñ kī dhuup chhāñv meñ
ik ajnabī kī tarah maiñ bhī apne ghar meñ thā
Ghazal
na koi shaKHs na saya kahin nagar mein tha
le uḌā un ko shauq ġhair ke ghar
ham tajassus meñ naqsh-e-pā ke rahe
Ghazal
na buton ke na ab KHuda ke rahe
ghar meñ rakhtā huuñ agar shor machātī hai bahut
merī tanhā.ī ko bāzār kī bīmārī hai
Ghazal
ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai
satāne ko bāhar balā.eñ ka.ī
Darāne ko aaseb ghar meñ bahut
Ghazal
hue jama afkar sar mein bahut
bāhar rah yā ghar meñ rah
mere dil-banjar meñ rah
Ghazal
bahar rah ya ghar mein rah
lahr ḳhud par hai pashemān ki us kī zad meñ
nanhe hāthoñ se banā ret kā ghar aa gayā hai
Sher
lahr KHud par hai pasheman ki uski zad mein
merī nīndeñ harām kyā hoñgī
ghar meñ rizq-e-halāl aatā hai
Sher
meri ninden haram kya hongi
ghar se ghar tak kā rāsta na milā
koī bhī ḳhud meñ jhāñktā na milā
Ghazal
ghar se ghar tak ka rasta na mila
aaj hamāre ghar aayā lo kyā hai jo tujh pe nisār kareñ
illā khīñch baġhal meñ tujh ko der talak ham pyaar kareñ
Ghazal
arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen
dil ko apne kyā kisī kā ghar kahūñ
aaj ḳhalvat-ḳhāna kal bāzār hai
Sher
dil ko apne kya kisi ka ghar kahun
ghar muzayyan hai to phir sahn bhī ḳhālī kyuuñ ho
kyuuñ nahīñ apne meñ ahbāb se miltā-jultā
Ghazal
koi tara kahin mahtab se milta-julta
sāhab-zāda pichhlī raat se ġhā.eb hai
ghar ke andar rishte vaale baiThe haiñ
Ghazal
ulTe sidhe sapne pale baiThe hain
jis galī meñ ghar tumhārā hai karo us kā ḳhayāl
ham to haiñ badnām apne halqa-e-ahbāb meñ
Ghazal
kya KHabar kab nind aae dida-e-be-KHwab mein
zideñ mohabbat se aisī aa.iiñ ḳhayāl rakkhā na apne ghar kā
butoñ ne ka.abe ko muft Dhāyā kisī ke dil ko dukhā dukhā kar
Ghazal
ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
sab ne mujh hī ko dar-ba-dar dekhā
be-gharī ne mirā hī ghar dekhā
Ghazal
sab ne mujh hi ko dar-ba-dar dekha
raakh is ghar meñ vo uḌtī hai ki jaise 'hashamī'
taaq meñ sham.a na thī sahn meñ mahtāb na the
Ghazal
hum zamane mein mohabbat ke bhikari Thahre
sayyād terā ghar mujhe jannat sahī magar
jannat se bhī sivā mujhe rāhat chaman meñ thī
Sher
sayyaad tera ghar mujhe jannat sahi magar

Top Urdushayar.com