Tags-Hawa

ab dekh le ki siina bhī taaza huā hai chaak
phir ham se apnā haal dikhāyā na jā.egā
Sher
ab dekh le ki sina bhi taza hua hai chaak
us jism ko kuchh aur sameTā huā rakhte
zulfoñ ko zarā aur pareshān banāte
Ghazal
milne ka bhi aaKHir koi imkan banate
lutf un kā ab huā to hai magar kuchh is tarah
jaise sahrā se guzar jaa.e koī abr-e-ravāñ
Ghazal
dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban
munhasir hai aisī ik buniyād par us kā yaqīñ
jis tarah dosh-e-havā par koī tinkoñ kā makāñ
Ghazal
dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban
tanhā.ī meñ aksar yahī mahsūs huā hai
jis tarah koī merī taraf dekh rahā hai
Ghazal
tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai
ho ḳhair charāġhān-e-sar-e-rāhguzar kī
sunte haiñ bahut tez zamāne kī havā hai
Ghazal
tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai
niiñd aatī hai yazdānī-e-muztar ko sakūñ se
ye maut hai yā dost ke dāman kī havā hai
Ghazal
tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai
chehre pe ek ke bhī na paayā vafā kā rañg
ahl-e-jahāñ kā ḳhuun huā sar-ba-sar saped
Sher
chehre pe ek ke bhi na paya wafa ka rang
kyuuñ havā tez abhī se chalne lagī
ġhuncha kam kam abhī khilā hogā
Ghazal
koi be-wajh kyun KHafa hoga
rañg be-rañg huā Duub ga.iiñ āvāzeñ
ret hī ret hai ab laash uThā.ī jaa.e
Sher
rang be-rang hua Dub gain aawazen
dauḌtī jaa.eñ ragoñ meñ nīl-gūñ ḳhāmoshiyāñ
duur tak phailā huā yuuñ dhund kā manzar lage
Ghazal
har dar-o-diwar pe larzan koi paikar lage
jahāñ mere na hone kā nishāñ phailā huā hai
samajhtā huuñ ġhubār-e-āsmāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
maiñ is ko dekhne aur bhuul jaane meñ magan huuñ
mire aage jo ye ḳhvāb-e-ravāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
inhī do hairatoñ ke darmiyāñ maujūd huuñ maiñ
sar-e-āb-e-yaqīñ aks-e-gumāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
rihā.ī kī koī sūrat nikalnī chāhiye ab
zamīñ sahmī huī hai aur dhuāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
koī andāza kar saktā hai kyā is kā ki āḳhir
kahāñ tak sāya-e-ahd-e-ziyāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
kahāñ Duube kidhar ubhre badan kī naav dekheñ
ki itnī duur tak dariyā-e-jāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
maiñ dil se bhaag kar jā bhī kahāñ saktā huuñ āḳhir
mire har sū ye dasht-e-be-amāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
mujhe kuchh bhī nahīñ mālūm aur andar hī andar
lahū meñ ek dast-e-rā.egāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai
'zafar' ab ke suḳhan kī sarzamīñ par hai ye mausam
bayāñ ġhā.eb hai aur rañg-e-bayāñ phailā huā hai
Ghazal
jahan mere na hone ka nishan phaila hua hai

Top Urdushayar.com