Tags-Hawa

muntashir jab zehn meñ lafzoñ kā shīrāza huā
mujh ko ik saada varaq ke dukh kā andāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
yuuñ to ik chubhtā huā ehsās thī us kī nazar
choT hī ubhrī na koī zaḳhm hī taaza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
moḌnā chāhā thā maiñ ne sar-phire lamhoñ kā ruḳh
der meñ ujḌī huī shāḳhoñ ko andāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
apnī palkoñ par liye phirtā rahā nīñdoñ kā bojh
chand ḳhvāboñ kā adā mujh se na ḳhamyāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
nīchī dīvāroñ ke saa.e bhī baḌe hote nahīñ
aaj apne dostoñ se mil ke andāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
ḳhud se sharminda nazar ā.eñge saare aa.ine
phir kabhī yakjā agar chehroñ kā shīrāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
jab havā.eñ dī ga.ī 'ālam' mire iḳhlās ko
ek chehra thā jo apne aap be-ġhāza huā
Ghazal
muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
tū shām-rañg huā jā rahā hai sub.h se kyuuñ
jhalaktī hai tirī sūrat se yaas darvāze
Ghazal
ye kis liye hai tu itna udas darwaze
ik peḌ havā ke saath chalā
phir girte girte sambhal gayā
Ghazal
jangal se aage nikal gaya
jamā huā ḳhuun hai ragoñ meñ na jaane kab se
rukā huā ḳhvāb hai ravānī se Dar rahā thā
Ghazal
wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha
havā ne jaise hī tevar dikhā.e haiñ apne
nikal rahā thā diye se jo nuur kaañp uThā
Ghazal
pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
sazā kuchh aisī milī ek be-qusūr ko aaj
huā thā asl meñ jis se qusūr kaañp uThā
Ghazal
pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
guloñ ko chuum kar aa.ī sabā sī lagtī thī
thī ik nazar pe mo.attar havā sī lagtī thī
Ghazal
gulon ko chum kar aai saba si lagti thi
rog jī-jān ko lagāyā huā
zañg ausān ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
ek aTkā huā hai pinjre meñ
ek par dhyān ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
ḳhvāb putlī ke martabān meñ juuñ
qufl sāmān ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
chakh ye mahkā huā qavām-e-ḳhayāl
shaam ke paan ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
aañkh rakkhī huī hai aahaT par
rāsta kaan ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
ḳhastagī se gaḌhā huā paivand
dil ke dāmān ko lagāyā huā
Ghazal
rog ji-jaan ko lagaya hua
zard pattoñ ko havā saath liye phirtī hai
dam-gazīda haiñ qazā saath liye phirtī hai
Ghazal
zard patton ko hawa sath liye phirti hai

Top Urdushayar.com