Tags-Hunar

baat kahnā nahīñ aatī mujhe likhnā nahīñ aatā
satr kahne kā hunar nazm banāne kā salīqa
Nazm
etiraf
ejaaz de rahā huuñ ab apne hunar ko maiñ
shamshīr ke liye hai zarūrat niyām kī
Ghazal
us par banti miTti dhanak uske nam ki
chehre ke rañg-o-nūr ko merā hunar samajh
mujh ko mirī nazar se kabhī jhāñk kar bhī dekh
Ghazal
kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
dekhe haiñ mere aib to merā hunar bhī dekh
saudā hai jis meñ apnā anā kā vo sar bhī dekh
Ghazal
kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
tarāshtā hai jigar vo bhī ābgīnoñ se
ḳhazaf ko kāsa-e-arz-e-hunar banātā hai
Ghazal
ajib shaKHs hai patthar se par banata hai
maiñ tujh ko jiit kar bhī kahāñ jiit pā.ūñgā
lekin mohabbatoñ kā hunar chhoḌ jā.ūñgā
Ghazal
apna pata na apni KHabar chhoD jaunga
muaaf karnā ye ḳhāka kahāñ ubhartā hai
agar ye dast-e-hunar rañg hī nahīñ bhartā
Ghazal
agar anar mein wo raushni nahin bharta
hassās zamāne meñ a.amāl kī vaq.at hai
lafzoñ kā hunar le kar jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
Ghazal
aahon mein sharar le kar jaun to kahan jaun
mujh ko thī nā-pasand use shā.irī pasand
thak-hār ke ye aib bhī āḳhir hunar kiyā
Ghazal
maine bhi apne dhyan mein apna safar kiya
zamāna meñ nahīñ ahl-e-hunar kā qadar-dāñ baaqī
nahīñ to saikḌoñ motī haiñ is dariyā ke dāman meñ
Ghazal
kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
ziyāñ thā naaz mata-e-hunar pe ai 'manzūr'
ye chiiz chashm-e-zamāna meñ arjumand na thī
Ghazal
qamar bhi dur na tha kahkashan buland na thi
zaḳhm-e-hunar kā rañg salāmat sab ko ḳhabar ho jā.egī
kitne chehre ham ne tarāshe haath qalam ho jaane tak
Ghazal
apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak
bā.is-e-arz-e-hunar karb-e-nihānī niklā
lafz hī mamba-e-dariyā-e-ma.ānī niklā
Ghazal
bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla
ahl-e-nazar koī nahīñ is liye ḳhud-pasand huuñ
aap hī dekhtā huuñ maiñ apne hunar ko kyā karūñ
Ghazal
un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun
abhī maiñ shahr ko sahrā banā.e detā huuñ
ki mere haath bhī kuchh kam nahīñ hunar vaale
Ghazal
ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale
mire kalām meñ 'shāhīñ' na kar talāsh mujhe
chhupā huā kisī dast-e-hunar ke pīchhe huuñ
Ghazal
main ek aatish-e-gham ki KHabar ke pichhe hun
hunar-mandī se apnī dil kā safha
mirī jaañ tum ne saada kar liyā kyā
Ghazal
bahut dil ko kushada kar liya kya
farishta hai to taqaddus tujhe mubārak ho
ham aadmī haiñ to aib-o-hunar bhī rakhte haiñ
Ghazal
ada-e-hairat-e-aina-gar bhi rakhte hain
ajab chiiz hai ye hunar kā ḳhazāna
na jis ko mile vo numā.ish karegā
Ghazal
jahan-dar jitni bhi sazish karega
mujh ko bhī ye kamāl-e-hunar hai milā huā
maiñ jī rahī huuñ us ko bhulāne ke bāvajūd
Ghazal
kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud

Top Urdushayar.com