Tags-Husn

husn-e-parī ik jalva-e-mastāna hai us kā
hushyār vahī hai ki jo dīvāna hai us kā
Ghazal
husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
ik ishq jaise lafz meñ muzmir ho kā.enāt
ik husn jaise dhuup chaḌhī aur utar ga.ī
Ghazal
tu yaad aaya aur meri aankh bhar gai
allāh re husn-e-dost kī ā.īna-dāriyāñ
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-dīvār kar diyā
Sher
allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan
kis tarah husn-e-zabāñ kī ho taraqqī 'vahshat'
maiñ agar ḳhidmat-e-urdu-e-muallā na karūñ
Sher
kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi wahshat
na vo husn hai na hijāb hai na vo ishq meñ tab-o-tāb hai
na vo ābrū-e-vafā rahī tire gaañv meñ mire shahr meñ
Ghazal
wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein
tum rañg ho tum nuur ho tum shīsha ho tum jaam
kirnoñ se bharī sub.h ho tāroñ se bharī shaam
Latiife
Tinka Tinka
har chashm-e-iltifāt ke husn-e-nigāh ko
ā.īna-e-ḳhulūs kā jauhar kahā gayā
Ghazal
ki ehtiyat dal ne bahut par kaha gaya
ehsās-e-husn-e-zarf se miltī hai aabrū
paanī kī ek buuñd ko gauhar kahā gayā
Ghazal
ki ehtiyat dal ne bahut par kaha gaya
maiñ thā mushtāq tire jalve kā ai māya-e-husn
rah ke parde meñ bhī to sho.ala-e-uryāñ na huā
Ghazal
dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua
zarre zarre se ayaañ husn kī ra.anā.ī hai
vo hasīñ tū hai ki pardoñ meñ bhī pinhāñ na huā
Ghazal
dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua
tumhāre husn ke gulshan meñ pyāre kuchh na chhoḌūñgā
raqīboñ ke sar uupar chaḌh ke toḌūñgā ye phal pahlā
Ghazal
kashish se dil ki us abru-kaman ko hum rakha bahla
hāsil-ul-amr ham hue badnām
ishq husn-e-butān-e-zebā meñ
Ghazal
bas tamanna hai ishq-e-maula mein
maraz-e-ishq husn-e-ḳhūbāñ kā
marg darmāñ hai naam hukamā meñ
Ghazal
bas tamanna hai ishq-e-maula mein
TuuT jā.egā bharam pariyoñ kī shahzādī kā
jab tire husn ko shahkār kiyā jā.egā
Ghazal
yun ilaj-e-dil bimar kiya jaega
huzūr-e-husn ye dil kāsa-e-gadā.ī hai
huuñ vo faqīr jise bhiik bhī na de koī
Ghazal
kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi
duniyā-e-husn-o-ishq meñ kis kā zuhūr thā
har aañkh barq-pāsh thī har zarra tuur thā
Sher
duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha
jalva-e-qudrat kā shāhid husn-e-fitrat kā gavāh
maah kā dil mehr-e-ālam-tāb kā nūr-e-nigāh
Nazm
kisan
husn mash.hūr ho rahā hogā
log bāteñ banā rahe hoñge
Ghazal
log jannat mein ja rahe honge
husn se dil lagā ke hastī kī
har ghaḌī ham ne ātishīñ kī hai
Ghazal
teri surat jo dil-nashin ki hai

Top Urdushayar.com