Tags-Husn

husn-e-iḳhlās hī nahīñ varna
aadmī aadmī to aaj bhī hai
Sher
husn-e-iKHlas hi nahin warna
husn vaalo zarā batāo nā
kyuuñ kisī se vafā nahīñ karte
Ghazal
waqt se hum gila nahin karte
ishq meñ radd-o-badal thā mushkil
husn kī kitnī adā.eñ huiiñ rad
Ghazal
bas KHala se hi sadaen huin rad
kabhī vo sher-o-suḳhan kā shaidā kabhī vo tahqīq kā divāna
vo merī ġhazloñ kā husn-e-matl.a mire maqāle ke baab jaisā
Ghazal
wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
be-misl us ke husn ko kahte haiñ do-ālam
distā hai har ik ḳhalq ko apne suuñ piyārā
Ghazal
aaya hai magar ishq mein dildar hamara
us ke faroġh-e-husn se jhumke hai sab meñ nuur
sham-e-haram ho yā ki diyā somnāt kā
Ghazal
har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka
rabt hai husn o ishq meñ bāham
ek dariyā ke do kināre haiñ
Sher
rabt hai husn o ishq mein baham
jo ḳhat hai shikasta hai jo aks hai TuuTā hai
yā husn tirā jhūTā yā aa.ina jhūTā hai
Ghazal
jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai
khile jo ek darīche meñ aaj husn ke phuul
to sub.h jhuum ke gulzār ho ga.ī yak-sar
Qita
khile jo ek dariche mein aaj husn ke phul
kisī kisī kā husn nashīlā hotā hai
kuchh shā.ir bhī hote haiñ matvāle jī
Ghazal
aankhen raushan lahje ras ke pyale ji
ishq to yaar adāoñ ko nigal jaatā hai
husn-e-bebāk bachāne kā bhī sochā jaa.e
Ghazal
bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae
hiddat-e-husn-e-nazar se bhī bachā kar ḳhud ko
ishq meñ risk uThāne kā bhī sochā jaa.e
Ghazal
bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae
mashshātgī-e-zulf-e-suḳhan kā ehsās
ārā.ish-e-husn-e-fikr-o-fan kā ehsās
Rubaai
mashshatgi-e-zulf-e-suKHan ka ehsas
āshnā jab tak na thā us kī nigāh-e-lutf se
vārdāt-e-qalb ko husn-e-bayāñ samjhā thā maiñ
Sher
aashna jab tak na tha uski nigah-e-lutf se
dariyā-e-husn aur bhī do haath baḌh gayā
añgḌā.ī us ne nashshe meñ lī jab uThā ke haath
Sher
dariya-e-husn aur bhi do hath baDh gaya
husn har rañg meñ maḳhsūs kashish rakhtā hai
vo tabassum kī adā ho ki sitam-koshī ho
Ghazal
husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai
jāzbiyyat to ba-har-hāl huā kartī hai
husn kī bū-qalamūnī ho ki ḳhush-poshī ho
Ghazal
husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai
tirā soz-e-ishq hai zindagī tirā jazb-e-husn hai be-ḳhudī
tujhe pā ke ḳhush hai tirā 'zakī' nahīñ kaam aish-e-davām se
Ghazal
teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se
tire husn ne ye ġhazab kiyā ki har ahl-e-dil huā mubtalā
jise dekhā terā hī said thā na koī bachā tire daam se
Ghazal
teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se
tirā husn hai mirī zindagī tirā ishq hai mirī āshiqī
tirī fikr hai mirī shā.irī tirā zikr mere kalām se
Ghazal
teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se

Top Urdushayar.com