Tags-Ishq

ishq ḳhud apne raqīboñ ko baham kartā hai
ham jise pyaar kareñ jān-e-zamāna ban jaa.e
Ghazal
jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae
chaman chaman kahīñ aañsū ghuTā ghuTā kahīñ aah
banā rahā hai na.ī kā.enāt ishq-e-tabāh
Ghazal
chaman chaman kahin aansu ghuTa ghuTa kahin aah
dil ek hai to ka.ī baar kyuuñ lagāyā jaa.e
bas ek ishq bahut hai agar nibhāyā jaa.e
Sher
dil ek hai to kai bar kyun lagaya jae
likhā tumhīñ ne hai sahrā ko dāġh-e-sīna-e-ishq
tum hī ne ābla-pā.ī se kahkashāñ likkhā
Ghazal
kahin pe qais kahin kohkan miyan likkha
tū mubtalā-e-ishq hai ġham kā nisāb DhūñD
unvān jis kā hijr ho aisī kitāb DhūñD
Ghazal
tu mubtala-e-ishq hai gham ka nisab DhunD
sarguzasht-e-ishq afsāna nahīñ
zīnat-e-unvān terā naam hai
Ghazal
har nafas minnat-kash-e-alam hai
husn kī tafsīr bhī kuchh kījiye
ishq be-shak ik ḳhayāl-e-ḳhām hai
Ghazal
har nafas minnat-kash-e-alam hai
ishq kī be-tābiyāñ hoshiyār hoñ
ahl-e-dil par zabt kā ilzām hai
Ghazal
har nafas minnat-kash-e-alam hai
abhī to ishq kī parteñ khuleñgī tah-dar-tah
abhī hijāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
Ghazal
shikasta KHwab mere aaine mein rakkhe hain
kis tarah se guzār karūñ rāh-e-ishq meñ
kaaTe hai ab har ek qadam par zamīñ mujhe
Sher
kis tarah se guzar karun rah-e-ishq mein
ishq mānūs-e-iltijā na huā
husn āzurda-e-jafā na huā
Ghazal
ishq manus-e-iltija na hua
ishq meñ kyā kaam kartī aql-o-dānā.ī kī baat
do-qadam aage chalī izzat se rusvā.ī kī baat
Ghazal
ishq mein kya kaam karti aql-o-danai ki baat
dast-e-qazā baḌhā hai mirī samt alvidā.a
ai etikāf-e-ishq ibādat tamām-shud
Ghazal
marte hue wajud ki hasrat tamam-shud
ai bārgāh-e-husn koī faisla to kar
is nā-murād-e-ishq kī hujjat tamām-shud
Ghazal
marte hue wajud ki hasrat tamam-shud
ishq un kī balā jaane āshiq hoñ to pahchāne
lo mujh ko atibbā ne saude kā ḳhalal jaanā
Ghazal
jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana
na rakh bahut hosh kī tavaqqo
ki ye mirā ishq-e-avvalīñ hai
Ghazal
ye sach hai duniya bahut hasin hai
ishq kī umr kam hī hotī hai
baaqī jo kuchh hai dostāna hai
Ghazal
ye jo phaila hua zamana hai
maiñ ishq kā jalā huuñ mirā kuchh nahīñ ilaaj
vo peḌ kyā harā ho jo jaḌ se ukhaT gayā
Ghazal
jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya
ishq ke haiñ 'vaqār' chaar unsur
ḳhauf andesha-o-daġhā khaTkā
Ghazal
aashiqi mein hai jaan ka khaTka
duniyā-e-husn-o-ishq meñ kis kā zuhūr thā
har aañkh barq-pāsh thī har zarra tuur thā
Ghazal
duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha

Top Urdushayar.com