Tags-Khat

mere vāste shāyad ḳhat meñ thā vahī jumla
tez raushnā.ī se jo kaTā huā paayā
Ghazal
rasta samundar ka jab ruka hua paya
hamārī maut yaqīnī batā.ī jā rahī thī
hamāre ḳhat bhī ḳhudāoñ ke haath lag ga.e the
Ghazal
siyah shab ki balaon ke hath lag gae the
likkhā thā tum ne ḳhat meñ ki tum ne bhulā diyā
kyā hādsa huā hai ki ham yaad aa ga.e
Ghazal
sari jafaen sare karam yaad aa gae
koī fareb ki ham jis se dil ko bahlā.eñ
talāsh karte haiñ ḳhat us ne jo likhe hī nahīñ
Ghazal
agar na manen na samho ki jaante hi nahin
ḳhāl-o-ḳhat se aib us ke rū-e-aqdas ko nahīñ
husn hai mus.haf meñ honā nuqta-e-e.arāb kā
Ghazal
halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka
tumhāre ḳhat ke aane kī ḳhabar sun
miyāñ sāhab nipaT merā kuḌhā jī
Ghazal
nahin tum mante mera kaha ji
apnā ḳhat aap diyā un ko magar ye kah kar
ḳhat to pahchāniye ye ḳhat mujhe gumnām milā
Sher
apna KHat aap diya un ko magar ye kah kar
ḳhud ko yaad aate hī be-sāḳhta hañs paḌte haiñ
kabhī ḳhat to kabhī tasvīr jalāte hue ham
Ghazal
aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum
ḳhāk-e-sahrā pe lakīreñ haiñ unheñ phir dekho
kahīñ ye ḳhat na hoñ likkhe hue dīvānoñ ke
Ghazal
raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke
pop dhamāke meñ ham bhaktī DhūñD rahe haiñ
maiDonā ke ḳhatt-o-ḳhāl meñ miirā dekheñ
Sher
pop dhamake mein hum bhakti DhunD rahe hain
samand-e-shauq pe ḳhat us kā tāziyāna huā
mile hue bhī to us se hameñ zamāna huā
Ghazal
samand-e-shauq pe KHat us ka taziyana hua
ai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh ko
tahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegā
Ghazal
pursish jo hogi tujhse jallad kya karega
ka.abe se mujh ko laa.ī savād-e-kunisht meñ
islāh dī butoñ ne ḳhat-e-sar-navisht meñ
Sher
kabe se mujhko lai sawad-e-kunisht mein
koī bhī nuqta-e-ḳhat zindagī pe ban na sakā
raqam kahīñ se ye tamsīl-e-dilrubā kar dī
Ghazal
baja ke usne riyazat ki intiha kar di
āġhāz-e-sabza se hai jo ruḳhsār par ġhubār
agle baras ise ḳhat-e-gulzār dekhnā
Ghazal
mahfil mein ghair hi ko na har bar dekhna
ho liye kyuuñ nāma-bar ke saath saath
yā rab apne ḳhat ko ham pahuñchā.eñ kyā
Ghazal
jaur se baz aae par baz aaen kya
ye shola-e-husn jaise bajtā ho sitār
har ḳhatt-e-badan kī lau meñ maddham jhankār
Rubaai
ye shola-e-husn jaise bajta ho sitar
almārī se mile mujhe pahle pahal ke ḳhat
baiThā huā huuñ aap kā va.ada nikāl ke
Ghazal
baiTha hun apni zat ka naqsha nikal ke
sabza-e-ḳhat ho kyuuñ na jauhar-e-ḳhāl
zahr tiryāk kī hai golī meñ
Ghazal
hum wo nalan hain boli-Tholi mein
thā to ḳhat par na thā javāb-talab
koī us kā javāb kyā likhtā
Unpublished Sher
tha to KHat par na tha jawab-talab

Top Urdushayar.com