Tags-Mausam

'najmī' sunā hai tum pe bhī mausam hai mehrbāñ
bād-e-sumūm se kabhī purvā.ī maañg lo
Ghazal
har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo
mausam kā zulm sahte haiñ kis ḳhāmushī ke saath
tum pattharoñ se tarz-e-shakebā.ī maañg lo
Ghazal
har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo
baat karnā mausam-e-barsāt kī pahlī jhaḌī
muskurā ke dekhnā qaus-e-quzah kā hai zuhūr
Ghazal
did ka israr musa lan-tarani koh-e-tur
ab ke mausam meñ ye dīvār bhī gir jaa.e 'shakīl'
is tarah jism kī buniyād meñ aañsū aa.e
Ghazal
tujhko sochon to tere jism ki KHushbu aae
udaas aañkh ko hai intizār fasl-e-murād
kabhī to mausam-e-jāñ hogā sāzgār apnā
Ghazal
hua karega har ek lafz mushk-bar apna
taaze khile haiñ daaġh ke gul dil ke baaġh meñ
phir mausam-e-bahār huā kyā bajā huā
Ghazal
jaanan pe ji nisar hua kya baja hua
burī kis kī tum ko nazar lag ga.ī hai
bahāroñ ke mausam meñ murjhā rahe ho
Ghazal
pasine pasine hue ja rahe ho
ghul rahā hai sañkhiyā kitnā havā meñ
har taraf mausam badaltā jā rahā hai
Ghazal
waqt ka daman phisalta ja raha hai
na jaane kaun se mausam meñ jī rahā thā maiñ
ki merī pyaas thī merī na merā dariyā thā
Ghazal
shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha
donoñ hī ro paḌe haiñ sar-e-mausam-e-ḳhizāñ
maiñ dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
Ghazal
aisi bhi kya uDi hai KHabar dekh kar mujhe
mausam-e-hijr to daa.im hai na ruḳhsat hogā
ek hī lamhe ko ho vasl ġhanīmat hogā
Ghazal
mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga
mausam ajiib rahtā hai dal ke dayār kā
aage haiñ lū ke jhoñke bhī ThanDī havā ke ba.ad
Sher
mausam ajib rahta hai dal ke dayar ka
sar jhukā.e adab se aatī hai
maut mausam kī rājdhānī hai
Ghazal
lutf aaya hai jaan-fishani mein
jaltā huuñ añdheroñ meñ ki chamke koī chehra
mausam haiñ adāvat ke magar pyaar to dekho
Ghazal
sahra mein koi saya-e-diwar to dekho
chaak kar lo agar girebāñ hai
dosto mausam-e-bahārāñ hai
Ghazal
chaak kar lo agar gireban hai
haath se kis ne sāġhar paTkā mausam kī be-kaifī par
itnā barsā TuuT ke bādal Duub chalā mai-ḳhāna bhī
Ghazal
awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi
pyaas kī bāteñ kahte sunte kitne mausam aa.e ga.e
koī sabīl-e-koh-kanī bhī kab tak zikr-e-qaht-e-āb
Ghazal
sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab
jab bhī kabhī shab-ḳhūn paḌā to ahl-e-chaman ḳhāmosh rahe
mausam-e-gul meñ jis ko dekho ''merī shāḳheñ'' ''mere gulāb''
Ghazal
sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab
mumkin hai kaT ga.e hoñ vo mausam kī dhaar se
un par phudakte shoḳh parinde the kyā hue
Ghazal
wo gungunate raste KHwabon ke kya hue
ġhālib ye hai ki mausam-e-ḳhat vaañ qarīb hai
aane lagā hai muttasil us kā payām yaañ
Ghazal
be-rawi o zulf-e-yar hai rone se kaam yan

Top Urdushayar.com