Tags-Maut

maut hī insān kī dushman nahīñ
zindagī bhī jaan le kar jā.egī
Sher
maut hi insan ki dushman nahin
chashm-e-qātil hameñ kyūñkar na bhalā yaad rahe
maut insān ko lāzim hai sadā yaad rahe
Ghazal
chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe
yahī chāhte haiñ ai jaañ miTe ġham ki jaan jaa.e
abhī maut agar na aatī tirā intizār karte
Ghazal
hum ajal ke aane par bhi tera intizar karte
maut to kah rahī hai jīvan se
ik tirā intizār hai mujh ko
Ghazal
be-qarari qarar hai mujhko
kabhī 'mahrūm' ham bhī zindagī par jaan dete the
magar ab maut se us ko sivā mushkil samajhte haiñ
Ghazal
kisi ki yaad ko hum zist ka hasil samajhte hain
terī talāsh meñ haiñ mire saath sargirāñ
merī hayāt-o-maut kā saudā-e-ḳhām dekh
Ghazal
jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh
bām-o-dar par maut kā parcham hai lahrāyā huā
aa rahī hai har qadam par bū-e-anfās-e-vabā
Nazm
zaifa
kis dushman-e-jāñ kī aarzū hai
jo maut ke ḳhvāst-gār haiñ ham
Ghazal
paiman-e-wafa-e-yar hain hum
zindagī mere qadmoñ tale hai
maut mujh pe ab aañsū bahā.e
Ghazal
jo riwayat ka munkir ho aae
paatā nahīñ maut par koī shaḳhs zafar
mumkin hī nahīñ is se kisī tarah mafar
Rubaai
pata nahin maut par koi shaKHs zafar
bahut aliil ho lekin ye buz-dilī hai 'salām'
ki tum ko maut kā saaya dikhā.ī dene lage
Ghazal
shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage
yaar! ye hijr kā ġham! is se to maut achchhī hai
jaañ se yuuñ hī koī bezār nahīñ hotā yaar
Ghazal
rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar
tamannā ik tarah kī jaan hai jo marte dam nikle
judā.ī ik tarah kī maut hai jo jīte-jī aa.e
Sher
tamanna ek tarah ki jaan hai jo marte dam nikle
maut se mil leñ kisī gosha-e-tanhā.ī meñ
zindagī se jo kisī din hameñ fursat dī jaa.e
Ghazal
mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae
maut se ziist kī takmīl nahīñ ho saktī
raushnī ḳhaak meñ tahlīl nahīñ ho saktī
Ghazal
maut se zist ki takmil nahin ho sakti
dost ban kar bhī kahīñ ghaat lagā saktī hai
maut kā kyā hai kisī ruup meñ aa saktī hai
Ghazal
dost ban kar bhi kahin ghat laga sakti hai
zauq-e-yaqīñ kī husn-e-muravvat kī ġham kī maut
jo kuchh dikhā.e umr-e-ravāñ dekhte chaleñ
Ghazal
ye roz-o-shab milenge kahan dekhte chalen
ek aise vaqt meñ jab zindagī bhī maut lage
'riyāz' kaun sī sūrat ho dil bahalne kī
Ghazal
kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki
mehrbāñ maut ne matoñ ko jilā rakkhā hai
varna jiine meñ yahāñ ḳhaak mazā rakkhā hai
Ghazal
mehrban maut ne maton ko jila rakkha hai
maut ke añdhere meñ vaqt tham gayā hogā
raat bujh ga.ī hogī din bhī Dhal gayā hogā
Ghazal
ashk tham gae honge dil sambhal gaya hoga

Top Urdushayar.com