Tags-Mazhab

ḳhādim-e-urdu-zabāñ huuñ shā.erī maktab mirā
aur bhī rishte haiñ lekin dostī maz.hab mirā
Qita
KHadim-e-urdu-zaban hun shaeri maktab mera
bahut bajā hai ye maz.hab kī maut par mātam
magar koī to azā-dār shā.erī kā ho
Ghazal
bulao usko zaban-dan jo mazhari ka ho
ḳhudā ke ba.ad nabī aur nabī ke ba.ad imaam
yahī hai maz.hab-e-haq vassalām val-ikrām
Unpublished Sher
KHuda ke baad nabi aur nabi ke baad imam
qaum-o-maz.hab kyā kisī kā aur kyā hai rañg-o-nasl
aisī bāteñ chhoḌ kar bas ilm-o-fan kī baat ho
Ghazal
baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho
uḌā dī qaid-e-maz.hab dil se ham ne
qafas se tā.ir-e-idrāk niklā
Ghazal
adu-e-jaan but-e-be-bak nikla
maz.hab kī ḳharābī hai na aḳhlāq kī pastī
duniyā ke masā.ib kā sabab aur hī kuchh hai
Ghazal
har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai
saḳht kāfir thā jin ne pahle 'mīr'
maz.hab-e-ishq iḳhtiyār kiyā
Ghazal
ta-ba maqdur intizar kiya
maz.hab hai merā ishq aur rindī hai merā kaam
hai kufr se na mujh ko na īmāñ se irtibāt
Ghazal
hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat
banda huuñ ishq kā nahīñ maz.hab se mujh ko kaam
kyūñkar karūñ maiñ gabrū musalmāñ se irtibāt
Ghazal
hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat
ishq jo me.arāj kā ik ziina hai
ye hamārā maz.hab-e-pārīna hai
Ghazal
ishq jo mearaj ka ek zina hai
jo lā-maz.hab ho us ko millat-o-mashrab se kyā matlab
mirā mashrab hai rindī riñd ko maz.hab se kyā matlab
Ghazal
jo la-mazhab ho usko millat-o-mashrab se kya matlab
maz.hab kuchh ho hindī haiñ ham saare bhaa.ī bhaa.ī haiñ
hindū haiñ yā muslim haiñ yā sikh haiñ yā īsā.ī haiñ
Nazm
watan ka rag
adyān-o-maz.hab o milal kī jañgeñ
shāyad hī qayām-e-hashr se pahle rukeñ
Rubaai
adyan-o-mazahib o milal ki jangen
maz.hab kī talvār banā kar
ḳhvāhishoñ ke andhe ghoḌe par savār
Nazm
bharose ka qatl
maz.hab kī mere yaar agar justujū kareñ
marte hue mirā na sū-e-qibla rū kareñ
Ghazal
mazhab ki mere yar agar justuju karen
barahnagī mirā maz.hab mirā sulūk bane
magar badan pe kisī qadr kī ridā bhī to ho
Ghazal
sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho
kufr-o-islām ke jhagḌoñ se chhuḌāyā sad shukr
qaid-e-maz.hab se junūñ ne mujhe āzād kiyā
Ghazal
humne ehsan asiri ka na barbaad kiya
'mīr' ke dīn-o-maz.hab ko ab pūchhte kyā ho un ne to
qashqa khīñchā dair meñ baiThā kab kā tark islām kiyā
Ghazal
ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya
futūr-e-millat junūn-e-maz.hab
ye raqs karte haiñ vahshatoñ par
Ghazal
karun jo tanqid zulmaton par
har maz.hab kā ek hī kahnā jaisā mālik rakkhe rahnā
jab tak sāñsoñ kā bandhan hai jiite jaao socho mat
Ghazal
kaTh-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat

Top Urdushayar.com